Tuesday 15 April 2014

New Two Line Urdu Poetry

Meny to wo khoya jo mera tha hi nahi


''Meny to wo khoya jo mera tha hi nahi
Usny wo khoya jo sirf usi ka tha''


Udaas Ruton Main


Udaas Ruton main tez kafi ki talkhiyon main
Wo kuch Ziyada Yaad Aata he sardiyon main


Har Ik mosam me Roshni Si bikherty hain
Tumhary Gham K chraagh meri Udasiyon me



Khuabon K darakht



Meny ye soch k boy nahi khuabon k darakht
Kon Sehra Me Lagy Pair Ko pani De Ga...



Ye Tajarba Bhi Hoa He



Ye tajarba bhi Hoa He Bhujy Charagon Se
K Har Andhraa dekhna sikhata he



Udaas Ruton Me



Udaas Ruton Me tez kafi talkhiyon Me
Wo Kuch Ziyada Hi yaad Aata He Sardiyon me


Har Ik Mosam Me roshni Si bhikhirty hain
Tumhary Gham K Chiraagh Meri Udasiyon main


Hazaron Gham Zamany Ke



Hazaron gham zamany k dara mujh ko nahi sakty
Boht Mazboot hon Main rula mujh Ko Nahi Sakty

Tumhary Dill Me jo kuch He kho mujh se mery dilbar
Sabhi se dard khty ho bata mujh ko Nahi Sakty




0 comments:

Post a Comment