Showing posts with label 2013 Poetry Love Shayari Broken Heart. Show all posts
Showing posts with label 2013 Poetry Love Shayari Broken Heart. Show all posts

Wednesday 26 March 2014

Best Two line Poetry of WASI SHAH

Me kesy Sard Hathon se tumhary gal chota tha WASI
December me tumhain meri shararat yaad  aay gi

Mery Ban Jao

Tumhara naam likhny ki ijazat Chin gyi jab se
Koi Bhi lafz Likhta Hn to aankhan Bheeg jati hain

hazar mosamon ki hukmarani he mery dill par
WASI me jab bhi tanha hon to aankhain bheeg jati hain

Mery Ban Jao

Dill me afsos ankhon me nami si rehti he
Zindagi me shayed koi kami si rehti he

Mujh se roth jaty hain aksar apny Wasi
Shayed mery khalos me koi kami si rhti he

Mery Ban Jao

Ye zabat chot gya to tumhari yaad aai
Me thak k toot gya to tumhari yaad aai

Tumhary bad na tha koi meri dill k siwa
Ye dill bhi roth gya to tumhari yaad aai

Mery Ban Jao



Google          Facebook         Twitter         Yahoo           bing          
»»  read more

Tuesday 25 March 2014

Me tabah hon tery Piyar Me tujhy Dosron Ka khyal he

Naz He takte guftar pa insano ko
Baat karny ka sleka nhi nadono ko


Mery Ban Jao

Me taba hon tery piyar me tujhy dosron ka khayal he
kuch Mery Masly par Ghor kar Meri Zindagi ka sawal he

Mery Ban Jao

Inteha ho gyi intezar ki
Ayi na kuch khabar mery yar ki

Yeh Hamaain he yaqeen bewafa wo nhi phir wajh
kya he intezar ki?????


Mery Ban Jao

Kanch jesy Hoty Hain hum jesy tanha logon k dill
Kabhi Toot Jaty hain kabhi tor diye jaty hain

Mery Ban Jao



Google          Facebook         Twitter         Yahoo           bing          
»»  read more

Thursday 20 March 2014

Muhabbat me apny aap ko Hmesha badsha hi samjha

Muhabat Me apny Aap Ko Hmehsha Badsha hi samjha
Aehsaas tab hoa Jab Wafa Mangi Faqeeraon ki tarha

Mery Ban Jao

Shikwa to bohat hain magar shikayat nahi kar sakta
Mery Honton ko Ijazat nahi tery khilaf bolny ki

Mery Ban Jao

Khamosh Muhabat

Tum yaad nahi karty To Hum gila Q karain
Suna he khamoshi bhi ik ada he muhabat nibhany ki

Mery Ban Jao

Me tujh Ko chand kahon ye mumkin to he magar
Log tujhy raat bhar dekhain Ye gawara Nahi he

Mery Ban Jao

Ajeeb andaz e Muhabat he unka
Roz Rula K kehty hain Apna khayal rakhna

Mery Ban Jao

Taras gay hum Kuch Sunny ko tery lab se
Piyar ki bat na sahi koi Shikayat hi kar do


Google          Facebook         Twitter         Yahoo           bing         

»»  read more

Friday 14 February 2014

Love Urdu Poetry

Kash me teri aankh ka pani ban jaon faraz

Or to kabhi na roy mujhy khony k dar se

Mery Ban jao

Ana kehti he Iltijaa kia karni... zaid....

wo muhabat hi kia jo minaton se mily...

Mery Ban Jao

Khula he jhoot ka bazar aao such bolain

Na ho bla se khredar aao such bolain

Sakoot chaya he insaniyat ki qadron par

Yahi he moqa izhaar aao such bolain

Mery Ban Jao

Need apni bhula kar sulaya hmko

Aanso apny gira kar hansaya hum ko

Dard kabhi na dena  un hastiyon ko Allah ne ma baab banaya jin ko

Mery Ban jao
»»  read more

Saturday 5 January 2013

Ye qasoor mera he k yaqeen kia he

Ye qasoor mera he k yaqeen kia he
dill teri hi khater rakh chor diya he

Ye qasoor mera he k yaqeen kia he
dill teri hi khater rakh chor diya he

tu hi sub se qareeb he mere
tu hi mera naseeb he ab ye mesoos kia he

Ye qasoor mera he k yaqeen kia he
dill teri hi khater rakh chor diya he

Ik tu hi he dolat meri hasel to mera
kitni he mohabat tuj se behisaab wafa

hasraton se barh kr apni
chaha tuje hmesha

Ye qasoor mera he k yaqeen kia he
dill teri hi khater rakh chor diya he

tu hi sub se qareeb he mere
tu hi mera naseeb he ab ye mesoos kia he

koi dard rha na dill me
na koi khala

har khuahish pori hoi he
tujhe paa jo liya

dor muj se ho na kbhi na
karna ye ik ehsaan

Ye qasoor mera he k yaqeen kia he
dill teri hi khater rakh chor diya he

tu hi sub se qareeb he mere
tu hi mera naseeb he ab ye mesoos kia he


Mery ban jao


Kabhi mom bn k pighal gya
kabhi girty girty sambhal gya

Usy rokti b to kis trha
k wo shakhs itna ajeeb tha

kabi tarap utha meri aah se
kabhi ask se na pighal saka

sar-e-Rah mila wo ager kabhi
to nazar chura k guzar gya

wo utar gya meri ankh se
mere dil se kyun na utar ska

wo chala gya jahan chor k
main wha se phir na palat ski

wo to smbl gya muje chor k
me bikhar k phir na simat saki


Mery ban jao


Tum pas hamare loat ana
Jab mosam pyara lgta ho

jab rim jhim rim jhim barish ho
jab thora thora sawan ho

jab dil kahin na lagta ho
Aor dard bhi dil mai jagta ho

jab koi tumhare pas na ho
jab khushi ki koi as na ho

jab dill ko lagti koi bat na ho
jab tare bhi sath chor jayn

Or koi tumhe na bhata ho
Tum Dhoop kinare mat chalna


tum pass hamary loat ana
Tum pass hamary loat ana

Mery ban jao
 
»»  read more