»» read more
Showing posts with label Barish ka Mosam. Show all posts
Showing posts with label Barish ka Mosam. Show all posts
Friday 9 November 2012
Monday 3 September 2012
at 11:40 | 0 comments | Barish ka Mosam
itna Aaya Hai Tere Baad Nazar Baarish Mein
Jitna Aaya Hai Tere Baad Nazar Baarish Mein
Itna Sunsaan Na Tha Pehlay Nagar Baarish Mein
Dhul Gaya Lamhon Mein Saalon Ka Parra Gard-o-Ghubaar
Ho Gaye Aur Bhee Sar-Sabz Shajar Baarish Mein
Tujh Ko Maloom Nahi Royi Howi Aankh Ka Gham
Kar Ke Dekho Tou Kisi Shaam Safar Baarish Mein
Kam Tou Pehlay Bhi Nahi Tha Magar Ay Bichray Howay
Barh Gaya Aur Tere Gham Ka Asar Baarish Mein
Har Taraf Ek Udaasi Si Utar Aati Hai
Kisi Zindaan Mein Dhal Jaata Hai Ghar Baarish Mein
Ay Alamnaak Ghatao Ose Jaa Kar Kehna
Takta Rehta Hai Koi Jaanib-e-Dar Baarish Mein
Is Qadar Rasmi Hai Wo Shakhs Ke Bas Holay Se
Pooch Leta Hai Janaab Aaj Kidher Baarish Mein
Tuesday 17 July 2012
at 06:57 | 0 comments | Barish ka Mosam
Sawan ke suhane mausam mein
Sawan ke suhane mausam mein...
Ik roop ki raani yaad aayi...
Wo bagh ka manzar yaad aaya...
Jhulon ki kahani yaad aayi....!!
Madhosh fazaa, mastaana samaa...
Baadal ka wo jhukna kheton per...
Yunh mast hawa lehraane lagi...
Chunri koi thame yaad aayi.... !!!
Koyal ki manhaarein matwaali...
Moron ke taraane mastaane....
Rim jhim ka wo aalam kya kahiye...
Wo baat puraani yaad aayi... !!!!
Har simt basanti phool khile....
Gulshan mein baharein jab aayi...
Jo saath kisi ke guzri thi...
Wo shaam suhaani yaad aayi... !!!!
Sawan ke suhane mausam mein...
Ik roop ki raani yaad aayi..
Monday 16 July 2012
at 08:54 | 0 comments | Barish ka Mosam
Tum Ne Baarish Ko
Tum Ne Baarish Ko
Mehez Barasty Dekha Hy
Main Ne Baarishon Ko
Kuch Kehty
Sunty Dekha Hy
Tum Dekhte Ho Barishon
Ki Jal Thal Hr Saal
Main Ne Barsat Ko Bar'ha
Palkon Pe Machalty Dekha Hy
Kese Maangon Phr Barasta
Saawan Apne RAB Se ??
k In Ankhon Ne Bastiyon Ko
Sawan Me Ujarty Dekha Hy
Seekh Gye Hum Barsihon Ko
Apne Andar Utarny Ka Fun
or Phr Sab Ne Humain
Har Dam Hansty Dekha Hy
Thursday 12 July 2012
Saturday 23 June 2012
Thursday 24 May 2012
at 11:44 | 0 comments | Barish ka Mosam
Kaise bhool jaun woh barsaat ki raat
Kaise bhool jaun woh barsaat ki raat
Tumhare mere woh mulakaat ki raat
Maathe pe Bindya,
baalo me gajra,aakhon me kaajal
Chehra tumhara jaise chaand ho
aur badal tumhara aanchal
Dekhte dekhte tum par hum lootgaye
Pehli nazar me jaise is jahan se uth gaye
Appke aate hi jaise mehfil aayi Qayamat
Aapme kuch kami ho nahi kisi ko koyi shikayat
Aapne sayad KHUDA ko di hai reeshwat
warna hame bhi de deta ek acchi si soorat
Mujhe aapke khoobsoorti se nahi koi gila
Bas itna arj karta hoon
kardo suru hamse pyar ka silsila.
Thursday 3 May 2012
at 11:00 | 0 comments | Barish ka Mosam
Barish hui to phoolon ke tan chak ho gaye
Barish hui to phoolon ke tan chak ho gaye
mausam ke hath bhig ke saffak ho gaye
badal ko kya khabar ki barish ke chah mein
kitane buland-o-bala shajar khak ho gaye
juganu ko din ke vaqt pakadane ke zid karen
bache hamare ahad ke chalak ho gaye
lahara rahi hai barf ke chadar hata ke ghas
suraj ke shah pe tinake bhi bebak ho gaye
suraj dimag log bhi iblag-e-fikr mein
zulf-e-shab-e-firaq ke pechak ho gaye
jab bhi garib-e-shahar se kuch guftagu hui
lahaje hava-e-sham ke namnak ho gaye
sahil pe jitne aabguzida the sab ke sab
dariya ke rukh badalate hi tairak ho gaye
Saturday 21 April 2012
at 12:39 | 0 comments | Barish ka Mosam
Sardion ki shamo main
Sardion ki shamo main.
Zard zard paty jab.
Shajar ki pukhta tahnio sy.
jb rothy rothy girty hain.
Nazar ruk si jati hy.
...Dekh kar judae ko.
Udas ujaar patoun ko.
Dil k kony main.
Ek khayal ubharta hy.
YE vohi paty hain.
Kal jo hary bhi thy.
kal jo kharay bhi thy.
kal jo sajay bhi thy.
Pairr kitna afsurda hy.
Dekh kar pato ko.
Chup udas thera hy.
Or itna kahta hy
Koi kitna pyara ho.
Chahy Voh tmhara ho.
bs khabar rakhna.
Aik din judae hy.
Aik din judae hy..
Subscribe to:
Posts (Atom)