Bashir Badr Shayari
In aankhon se din raat barsaat hogi
Agar zindagi sirf barsaat hogi
Musafir ho tum musafar hain hum bhi
Kisi mor par phir mulaqaat hogi
Sadaon ko alfaz milny na payain
Na badal gharain ge na barsaat hogi
Charaghon ko aankhon me mehfoz Rakhna
Bari door tak rat hi raat hogi
Azal dabad tak safar hi safar he
Kahi subha hogi kha raat hogi
Bashir Badr Poetry urdu
Aag lhra k chali he usy aanchal kar do
Tum mujhy raat ka jalta hoa jangal kar do
Chand Sa msra akela he mery kaghaz kaghz par
chat pay aa jao mera sher mukamal kar do
Me tumhain Dill ki siyasat ka hunar deta hon
Ab isy dhop bna do mujhy badal kar do
Apny aangan ki udasi se zara baat karo
Nem ke sugy hoy per ko sandal kar do
Tum Mujhy Chor k jaao ge magar to mar jaon ga
yon karo jaany se pehly mujhy pagal kar do
Bashir Badr poetry in hindi
Kabhi Un bhi aa meri aankh main meri nazar ko khabar na ho
Mujhy ak raat nawaz de magar us ke baad sahar na ho
Wo bara raheem o kareem he mujhy ye sifat bhi ata kary
Tujhy bholny ki dua karon to meri dua asar me na ho
Mery Bazoon me thaki thaki abhi mehokhab he chandni
Na uthy sitaron ki palki abhi ahton ka guzar na ho
Ye ghazal k jesy harn ki aankh me pichli rat ki chandni
Na bichy kharab ki roshni kabhi be charag ye ghar na ho
Bashir Badr Ghazal
Khain pankhon ki dagar nahi khain aanchalon ka ngar nahi
Ye pahar dhop k per hain kahian saya dar shajar nahi
Mujhy aesi baat batay jo koi suny to nai lagy
Koi bhok se mar gya ye khabar to koi khabar nahi
Tery Naam se meri rah main koi dukh k phol bicha gya
Me teri zameen ka khuab hon mujhy aasmaan ka dar nahi
Mery Hamsafar mery razdaan ye udaas palkon k saaybaa
tery sath dhop k raston ka safar bhi koi safar bhi koi safar Nahi
Koi mer ho k bashir ho jo tumhary naaz uthay hum
Ye ghazal ki dily he ba adab yaha be adab ka guzar nahi