Showing posts with label Dowa. Show all posts
Showing posts with label Dowa. Show all posts

Tuesday, 5 June 2012

Tere daman ke hawa mangate hain


Tere daman ke hawa mangate hain
hum bhi jine ke dua mangate hain
mutribo koi achuta nagma
saz aahang-o-sada mangate hain
mah-o-anjum ke jharoke aksar
kisi ke aariz ke dua mangate hain
phir patangon mein khudai jagi
shole hashr-numa mangate hain
banda-paravar koi khairat nahi
hum vafaon ka sila mangate hain
maikada ho ke kalisa “sagar”
sari duniya ka bhala mangate hain
»»  read more

Sunday, 22 April 2012

Dua nahin to gila deta koi


Dua nahin to gila deta koi 
meri wafaon ka sila deta koi. 
jub muqaddar hi nahin tha apna 
deta bhi to bhala kya deta koi. 

haasil-e-ishq faqat dard hai 
aye kaash pehle hi bata deta koi. 
taqdeer nahin thi gar aasmaan chhoona 
khaaq mein hi mila deta koi. 

bewafa bhi humen bewafa kah gaya 
isse jiyada kya daga deta koi. 
gumaan hi ho jata kisi apne ka 
daaman hi pakad kar hila deta koi. 

arse se atka hai hinchkiyon pe dum 
achchha hota jo bhula deta koi. 
ye to ro ro ke kat gayee "sagar" 
kya hota agarche hansa deta koi
»»  read more