Showing posts with label Ek Larki. Show all posts
Showing posts with label Ek Larki. Show all posts

Thursday, 25 October 2012

Suno acha nahi lagta!

Suno acha nahi lagta!

Kare jb tazkara koi
kare jb tabsara koi

tumhari zaat ko khojy
tumhari bt ko sochy

mjy acha nahi lagta
suno acha nahi lagta!

Tumhari muskurahat par
hazaro log marty ho

tumhari aik ahat par
hazaro dil darakty ho

kesi ka tum py mar jana
mjy acha nahi lagta

suno acha nahi lagta

»»  read more

Sunday, 7 October 2012

Wo khuwab sahi paish-e-nazar to ab bhi hai


Wo khuwab sahi paish-e-nazar to ab bhi hai
Bichharnay wala shreek-e-safar to ab bhi hai

Hzaar waqt ne deewar-e-hijr utha di magar
Khyal-e-yar mera hum safar to ab bhi hai

Magar yeh kaon badalti hui ruton se kahay
Shajar me saiyah nahi, shajar to ab bhi hai

Muhabten hain muatbar agar to phir ik shakhs
Muhabton ki tarha muatbar to ab bhi hai

Zuban breedah sahi, khzaan raseedah sahi
Hara bhara mera zakhm-e-hunar to ab bhi hai

Humari darBadri pe na jaiay k humen
Shaur-e-saiyah deewar-o-dar to ab bhi hai
»»  read more

Friday, 7 September 2012

Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki


Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki,
Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki,

Woh sitam’gar hai to ab us se shikayat kesi,
Aur sitam karna bhi aadat purani us ki,

Besh-qeemat hai yeh moti se meri palkon per,
Chand aansu hain mere pass nishani us ki,

Us jafaa-kaar ko maloom nahin woh kya hai,
Be-murawat ko hai tasveer dikhani us ki,
»»  read more

Tuesday, 4 September 2012

Bhooli larki mat us khwaab k pechey baago

Bhooli larki mat us khwaab k pechey baago
pathar ban kar reh jao gi
teez boht hay waqt ka dariya
tum bhi us me beh jao gi
ye nishtar jaisi ruswai
bolo kaise seh pao gi
yu'n Bacho jaisi baato'n se
boolo tum sub ko behla sakti ho
kiya tum apne munn ki Munntak
Duniya ko samjha sakti ho
khwaabo'n jaisi baatai'n kar k
kiya tabeerai'n paa sakti ho
Baap ki shafqat , Maa'n ki tamanna
kiya such much tukra sakti ho
jis ghar me parwaan charhi tum
us ko chor k aa sakti ho
aysi baatai'n namumkin hay
bas tum apni tanhai me
Hijr k Geet hi ghaa sakti ho.
»»  read more

Friday, 27 July 2012

Naqsh yadon ka mitaati hy to ro parti hy


Naqsh yadon ka mitaati hy to ro parti hy.
Wo mera khatt jo jalati hy to ro parti hy.

Khoon dikhta hy mery marty hoye sapno ka,
Khuwab ankhon main basati hy to ro parti hy.

Log poochty hen jo gehri udaasi ka sabab,
Baat logon se chupaati hy to ro parti hy.

Yaad karti hy mujhy toot kar us lumhy,
Shaam chehra jo dikhaati hy to ro parti hy.

Woh bary zubt bhary hosly wali larki,
Ghum ko tahreer banati hy to ro parti hy

»»  read more

Monday, 16 July 2012

Kai dino se udaas rehti hy


na jany kitne ghamon k jugnoun ko
chupaati phrti hy muthiyon me
kai dino se udaas rehti hy
ek larki saheliyon me

kabi to yon ho muhabbaton ki
mithaas lehjon me ghool dekhain
guzar hi jati hy umr saari
udaas baaton ki talkhiyon me

hamari khwhishon k raston me
mehek rahi hy wafa ki khushbo
muhabbaton ne bdal diye hain
tamam manzar udaasiyon k

hamain khabar hy hawa mukhaalif
roshni k payam'bar ki
chiragh phr b jalaye hoe hain
hum muhabbat ki aandhiyon me

kabi kabi to muhabbaton k
yakeen lehje me guftago ho
kahin to mera b naam aye
teri wafa ki kahaniyon me
»»  read more

Tuesday, 29 May 2012

EK Jesi Lagti Hain


EK Jesi Lagti Hain’ Churiyan or Larkiyan,
Hansti Hain’ Khanakti Hain’ Churiyan or Larkiyan..

Nazuk Inteha ki’ Ek Zara-si Thais se,
Toot-Kar Bikhrti Hain’ Churiyan or Larkiyan..

UNKY Torrny-WaLy ko Ehsaas-tk Nahi Hota,
Bikhr-k KAB SambhLti Hain’ Churiyan or Larkiyan..

Zindagi ki Dharkano ko Ek RYTHM-sa Deti Hain,
Zeest ko Sajati Hain’ Churiyan or Larkiyan.

Apney Dukh ko Apney Andar
Rakh k BhooL Jaati Hy,

Bahir se Chamakti Hain
‘Churiyan or Larkian’….♥
»»  read more

Monday, 28 May 2012

JO MAIN JAANTI


Jo main jaanti bisarat hain sainyaaN 
ghunghataa meiN aag lagaa deti
maiN laaj ke bandhan toa.D sakhi 
piyaa pyaare ko apane manaa leti

Mere haar-singaar ki raat gayi 
piyuu sang umang meri aaj gayi 
ghar aaye naa more saaNvariyaa 
maiN to tan-man unpe luTaa deti 

Mohe preet ki reet naa bhaayi sakhi 
maiN banake dulhan pachhataayi sakhi 
hoti naa agar duniyaa ki sharam 
unhen bhej ke patiyaan bulaa leti 
»»  read more

Saturday, 26 May 2012

Kaanch Ki Gurya

Kaanch Ki Gurya"


♥ Khwabon ki ik basti thi
1 larki uss me rehti thi.....!!

♥ Apne ghar k aangan me
Kuch sapnay boya krti thi.....!!

♥ Apne kamray ki khirki me
Boondon se khela krti thi.....!!

♥ Sab k samne hansti thi or
Chup chup k roya krti thi.....!!

♥ Chaand ko kahin dair tak
Wo aksar ghoora krti thi.....!!

♥ Phir khud se batain krti thi
Dekhne wali sab aankhon ko ..!!

♥ Kaanch ki gurya lagti thi
Toot gayi to sab ne jana.....!!

♥ Wo pagli, pyar kisi se krti thi.
»»  read more

Friday, 20 April 2012

abhi khuabon k jungle main


abhi khuabon k jungle main
kabhi akailey pan ki daldal main
kisi sundal k saaey main
kabhi baadal ki chatri par
kisi din taiz barish main
kabhi darya k dhaarey par
kabhi dukh k kinaarey par
kabhi saahil par likhti hai
kabhi likh kar mitaati hai
kabhi likhney sey pehley hi
mitta kar hansney lagti hai
kisi din shaam sey pehley
mitaana bhool jati hai
to saari raat roti hai....
»»  read more