Showing posts with label Hijar. Show all posts
Showing posts with label Hijar. Show all posts

Saturday 2 February 2013

Hawa ko awara kehne walon

Hawa ko awara kehne walon
Kabhi tu socho kabhi tu likho
Hawayein kyun apni manzilon se bhatak gayi hain
Na unki aankhon main khawab koi
Na khawb main intezaar koi

Ab unkay saaray safar main subhay yaqeen koi
Na shaam-e-sada aitbar koi
Na unki apni zameen koi na aasman per koi sitarah
Na koi mausam na khushboo ka istaara
Na roshni ki lakeer koi na unka apna safer koi
Jo unkay dukh per kitaab likhay
Musafirat ka azaab likhay
Hawa ko awaara kehnay walon
kabhi tu socho!
»»  read more

Tuesday 14 August 2012

Hijr ki raat Dhale na Dhale


Hijr ki raat Dhale na Dhale.
le Gham-e-janaan ham to chale.

Divane ki maut na pouch;
Ahl-e-Khirad ne haath male.

Apni lagan hai apna laag;
Kaun bure aur kaun bhale.

Duniya mein daanaa hai vohi;
Jo duniya ke saath chale.

Chashm-e-tamasha ye bhi dekh;
Phool hanse aur shaaKh jale.

BichhRe huhe dukh 'Saif' hamein;
Ro ro ke milte hain gale.
»»  read more

Monday 6 August 2012

Ik Hijr-e-Musalsal Hy


Ik Hijr-e-Musalsal Hy,
Ansu Hen Mery Sathi,
Kuch Khuwab Puranay Hen,
Kuch Paas Nahi Baaqi,
Teray Paas Chala Aaon!
Teri Neend Chura Laon,
Mere Dil Se NaJane Q,
Ye Khuwaish Nahi Jaati,
Din Rat Tumhen Dekhon,
0r
Pyaar Kiye Jaon!
Meri Aankhon Sy,
Mere Dil Se…
Teri Pyaas Nahi Jaati,
Ik Dujey Se Dono Ko,
Ye Kesi Adawat Hy,
Teri Yaad Jo Aa Jaye,
Phir!!
Neend Nhi Aati..
»»  read more

Ye Pehlay Hijar Ka Qissa Hai


Ye Pehlay Hijar Ka Qissa Hai,
Jo Aaj k Din Ki Baat Nahi,
Kuch Umar Bhi Thi Deewaano'n Si,
Kuch Chaal Bhi Thi Mastaano'n Si,
Hathn Mein Phool Sajatay
Thay,
Sajh_Dhaj Kar college Jatay Thay,
Kab Itnay Seedhay Saadhay Thay,
Us Waqt To Hum Shehzaday Thay,
Phir Ik Chehra Bhaa Sa Gaya,
Nazdeek Wo Dil k Aa Sa Gaya,
Phir wo Tha Aur Baatain Us ki,
Din Sab Us k Raatain Uss ki,
Phir Aisa Bichrra Mila Nahi,
Is Dil ka Phool Phir Khila Nhi,
Phir Uss k Baad Jo Log Milay,
Is Dil ko Jitnay Rog Milay,
Har Saans Ussi k Naam Rahi,
Har Sham Ussi ki Sham Rahi,
Ye Pehlay Hijar Ka Qissa Hai,
Jo Aaj Bhi Hum Pe Taari Hai,
Ye Hijr Abhi Tak Jaari Hai
Ye Hijr Abhi Tak Jaari Hai
»»  read more

Saturday 4 August 2012

Darya ne kal jo Chup ka liBada Pehan lia

Darya ne kal jo Chup ka liBada Pehan lia

PyasOn ne apne Jism pe Sehra Pehan lia

Wo Taatt ki Qaba thi, K kagHaz ka Perahan

Jesa bhi Mil gya Hamen, Wesa Pehan lia

FaqOn se Tang aaey to Poshaak Bech di

Uryaan hue ! To shaB ka Andhera Pehan lia

Garmi laGi to Khud se alaG ho k, So gay

SarDi laGi to Khud ko, DoBara Pehan lia

BhoNchaal me Kafan ki Zarurat, Nahi Pari

Har laaSh ne Makan ka MalBa Pehan lia

BEDAL ! LiBas e Zeest Bra Deeda Zeb Tha

Aur Hum ne Us liBaas ko Ulta Pehan lia
»»  read more

Friday 27 July 2012

Qisa Abi Hijab Se Aagy Nahi Barha


Qisa Abi Hijab Se Aagy Nahi Barha
Main Aap
Wo Janab Se Aagy Nahi Barha

Muddat Hoi Kitab-e-Muhabbat Shuru Kye
Lekin Main Pehle Baab Se Aagy Nahi Barha

Lambi Musaftain hain Mgr Is Sawaar Ka
Paon Abi Raqaab Se Aagy Nahi Barha

Tool-e-Kalaam K Lye Main Ne Kye Sawal
Wo Mukhtasar Jawab Se Aagy nahi Barha

Rukhsar Ka Pata Nahi
Ankhain To Khoob hain
Darshan Abi Naqaab Se Aagy Nahi Barha

Wo Lazat-e-Gunah Se Mehroom He Raha
Jo Khwahish-e-Sawab Se Aagy Nahi Barha
»»  read more

Thursday 19 July 2012

Dil mein ek laher si utthi hai abhi


Dil mein ek laher si utthi hai abhi 
Koi taaza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

shor barpa hai khana-e-dil mein
koi deewar si giri hai abhi 
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

kuchh to nazuk mizaaj hain hum bhi 
aur ye chote bhi nayi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

yaad ke be-nishaan jazeeron se
teri awaaz aa rahi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

shehar ki be-charaagh galiyon mein
zindagi tujh ko dhoondti hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi
»»  read more

Thursday 12 July 2012

Merey sabar ka na ley Imtehaan


Merey sabar ka na ley Imtehaan
Meri khaamoshi ko sada na dey
Jo terey baghair na jee sakey
Usey jeeney ki to duaa na dey

Tu azeez Dil-o-nazar sey hai
Tu qareeb Rag-o-jaan sey hai
Merey Jissm-o-jaan ka yeh faisla
Kaheen waqat aur barha na dey

Tujhe bool ke bhi na bulaa sakoon
Tujhe chah ke bhi na pa sakoon
Meri hasraton ko shumaar kar
Meri chahaton ka silaa na dey

Wo tarap jo shula-e-jaan mein thi
Merey tan badan sey lypat gaye
Jo bujha sakey to buja isey
Na bujha sakey to hawa na dey

Tujhe agar milein kabhi fursatein
Meri shaam phir sey sanwaar dey
Agar qatal karna hai to qatal kar
Yoon judayioon ki saza na dey
»»  read more

Monday 2 July 2012

Hijjer Main Q Rulaty Ho Kaha Hoty Ho


Hijjer Main Q Rulaty Ho Kaha Hoty Ho
Loot Ker Q Nahi Aaty Ho Kaha Hoty Ho

Mujh Se Bichre Ho To Mehboob-E-Nazer Ho Kis K
Aaj Kel Kis Ko Manaty Ho Kaha Hoty Ho

Shab Ki Tanhai Main Akser Ye Khayal Ata Hai
Apne Dukh Kis Ko Sunaty Ho Kaha Hoty Ho

Sard Raatoon Main Tumhain Kaise Bhula Sakta Hoon
Aag C Dil Main Lagaty Ho Kaha Hoty Ho

Sheher K Log Bhi Akser Ye Sawal Kerty Hain
Ab Boht Kam Nazer Aaty Ho Kaha Hoty Ho
»»  read more

Us k hathon se joo khoshbo-e-hina atii hai


Us k hathon se joo khoshbo-e-hina atii hai
Aisa lagta hai k jannat se hawaa atii hai

Chomne daar ko kis dhaj se chala hai koi
Aj kis naaz se maqtal mee qaza aati hai

Na kabhi koi kare tujh se tere jaise salook
Hath uthtay hi yehi lab pe dua aati hai

Tere gham ko ye bar-hana nahin rehne deti
Meri ankhon pe jo ashkon ki rida aati hai

Us ke chehray ki tamazat bhi hai shamil is main
Aaj tapti hoi saavan ki ghata aati hai

Ghomnay jab bhi tere shehar me jati hai wafa
Bain karti hui wapis woh sada aati hai

Hai wohi bat har ik lab pe bohat aam yahan
Hum se jo kehte hue un ko haya ati ha
»»  read more

Tuesday 12 June 2012

Kaati Hai GaM Ki Raat Bade EhtraaM Se


Kaati Hai GaM Ki Raat Bade EhtraaM Se, 
Aksar Bujha Liya Hai Charagon Ko ShaaM Se, 

Roshan Hai Apni BazM Aur Isse EthaMaM Se, 
Kuch Dil Bhi Jal Rahe Hai Charagon Ke NaaM Se, 

Muddat Hui Hai Khoon-E-TaManna Kiye Magar, 
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahoo Dilke JaaM Se, 

Subah-E-Bahar HuMko Bulati Rahi Magar, 
HuM Khelte Rahe Kisi DaMakti ShaaM Se, 

Har Saans Par Hai Maut Ka Pehra Laga Hua, 
Ahista Aye Hayat Guzar Is MukaaM Se, 

Kati TaMaM UMr Fareb-E-Bahar Mein,
Kante SaMette Rahe Phoolon Ke NaaM Se, 

Ye Aur Baat Hai Ke HuM Na Sun Sake, 
Awaz Usne Di Hai HaMein Har MukaaM Se..
»»  read more

Friday 25 May 2012

Shikwa Teri


Shikwa Teri
"Yaadon" sa
istrha kiya hum Ne

Hanstay hanstay Dil KO
... "Rula" Diya Hum ne...
... Ek Lamha diya
tu ne "jeene" ke Liye

Aur us mein
Zindagi ko "bita"
Diya Hum ne...
(¯`v´¯)
`•.¸.•´ ...
»»  read more

Thursday 24 May 2012

Jalti Shamain, Roshan Chehrey


Jalti Shamain, Roshan Chehrey
Kaasni Lariyaan, Nazuk Sehrey

Nargis, Bela, Motiya, Lala
Juhi, champaa aur banafshaa
Har Koi Dekho Shaad Hai Naa
Aaj Tumhari Salgirah Hai
Dekho Hum Ko Yaad Hai Naa

Hum To Sirf Dua-Go Log
Khaak-O-Mehr Ka Kiya Sanjoag
Pas Rahen Ya Doorr Rahen
Wehshat Se Ranjoor Rahen

Mehfil To Abad Hai Naa
Aaj Tumhari Salgirah Hai
Dekho Hum Ko Yaad Hai Naa

Kaise Kaise Khuwab Buney
Rang Ba’range Phool Chuney
Un Ke Hath Pe Hath Rahe Ga
Salgirah Ka Cake Katey Ga

Khuwab Har Ik Barbaad Hai Naa
Aaj Tumhari Salgirah Hai
Dekho Hum Ko Yaad Hai Naa
»»  read more

Monday 21 May 2012

Gali Main Dard K Purze Talaash Karti Thi


Gali Main Dard K Purze Talaash Karti Thi
Maire Khatoot K Tukre Talaash Karti Thi

Bhulae Koon Azyat Pasandiyaan Us Ki
Khushi K Dhair Main Sadmey Talaash Karti Thi

Ajab Hijar Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar K Toote Patey Talaash Karti Thi

Ghuma Phira K Judai Ki Baat Karti Thi
Hamaisha Hijar K Harbey Talaash Karti Thi

Duain Karti Thi Ujre Howe Mazaroon Par
Bare Ajeeb Sahaaray Talaash Karti Thi

Mujhe To Aaj Bataaya Hai Badloon Ne
Wo Laut Aane K Raaste Talaash Karti Thi
»»  read more

Saturday 19 May 2012

Chaand Ke Saath Kaii Dard Puraane Nikale


Chaand Ke Saath Kaii Dard Puraane Nikale
Kitane Gam The Jo Tere Gam Ke Bahaane Nikale

Fasl-E Gul Aaii Phir Ik Baar Asiiraan-E-Vafaa
Apane Hii Khuun Ke Dariyaa Men Nahaane Nikale

Hijr Ki Ajab Sang-Shikan Hotii Hai
Dil Kii Befaiz Zamiinon Se Khazaane Nikale

Umr Guzarii Hai Shab-E-Taar Men Aankhen Malate
Kis Ufaq Se Meraa Khurshiid Na Jaane Nikale

Kuu-E-Qaatil Men Chale Jaise Shahiidon Kaa Juluus
Khvaab Yuun Bhiigatii Aankhon Ko Sajaane Nikale

Dil Ne Ik Iint Se Taamiir Kiyaa Taaj Mahal
Tuu Ne Ik Baat Kahii Laakh Fasaane Nikale

Dasht-E Tanhaaii-E-Hijraan Men Khadaa Sochataa Huun
Haaye Kyaa Log Meraa Saath Nibhaane Nikale

Main Ne ‘Amjad’ Use Bevaastaa Dekhaa Hii Nahiin
Vo To Khushbuu Men Bhii Aahat Ke Bahaane Nikale
»»  read more

Friday 11 May 2012

kis-kis tarah se mujh ko na rusva kiya gaya


kis-kis tarah se mujh ko na rusva kiya gaya
gairon ka naam mere lahu se likha gaya
nikala tha main sada-e-jaras ke talash mein
bhule se is sukut ke sehra mein aa gaya

kyon aj us ka zikr mujhe khush na kar saka
kyon aj us ka naam mera dil dukha gaya
is hadase ko sun ke karega yaqin koi
suraj ko ek jhonka hawa ka bujha gaya
»»  read more

Tarz jine ka sikhati hai mujhe


Tarz jine ka sikhati hai mujhe
tashnagi zeher pilati hai mujhe

raat bhar rahati hai kis baat ke dhun
na jagti hai na sulati hai mujhe
ruthata hun jo kabhi duniya se
zindagi aake manati hai mujhe
aaina dekhun to kyunkar dekhun
yaad ik shakhs ke aati hai mujhe
band karta hun jo aankhen kya kya
roshani si nazar aati hai mujhe
koi mil jaye to rasta kat jaye
apni parachai darati hai mujhe
ab to ye bhool gaya kis ke talab
des parades phirati hai mujhe

kaise ho khatm kahani gham ke
ab to kuch neend si aati hai mujhe
»»  read more

Tuesday 8 May 2012

Yaad karana har ghadi us yar ka


Yaad karana har ghadi us yar ka
hai vazifa mujh dil-e-bimar ka
aarazu-e-chashma-e-kausar nahi
tishnalab hun sharbat-e-didar ka
aakabat kya hovega malum nahi
dil hua hai mubtila dildar ka
kya kahe tarif dil hai benazir
harf harf us makhzan-e-israr ka
gar hua hai talib-e-azadagi
band mat ho subba-o-zunnar ka
masnad-e-gul manzil-e-shabanam hui
dekh rutba dida-e-bedar ka
ae “wali” ho na srijan par nisar
mudda’a hai chashm-e-gauhar bar ka
»»  read more

Yaaron Marr Bhi Gaya Toa


Yaaron Marr Bhi Gaya Toa,
Aarthi Meri Dafnaa Dena
Utha Kar Janaza Mera,
Unki Gali Ghuma Dena
Agar Wo Mera Pata Puche To
Shamshaan Ghaat Bata Dena
»»  read more

Aag Ho To Jalney Main


Aag Ho To Jalney Main Der Kitne Lagtee Hai
Barf Key Pighalney Main Der Kitne Lagtee Hai
Chahey Koi Ruk Jaye,Chahey Koi Rah Jaye
Qafloun Ko Chalney Main Der Kitne Lagtee Hai
Chahey Koi Jase Bhee Hamsafar Ho Sadyoun Sey
Rasta Badalney Main Der Kitne Lagtee Hai
Ye To Waqt Key Bass Main Hai Ke Kitne Mohlat Dey
Warna Whakt Dhalney Main Der Kitne Lagtee Hai
Soch Ke Zamenoun Per Rastey Juda Hon To
Dur Ja Nikalney Main Der Kitnee Lagtee Hai
Umer Bhar Ka Bandhan Bhee Pal Bhar Main Tut Jata Hai
Soch Ko Badalney Main Der Kitne Lagtee Hai
Jab Hawa Mukhalif Ho,Mooj Main Samander Ho
Kashteyan Ulatney Main Der Kitnee Lagtee Hai
»»  read more