Showing posts with label Meer Taqi Meer. Show all posts
Showing posts with label Meer Taqi Meer. Show all posts

Friday 2 August 2013

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,
Jaan ka rog hai, bala hai ishq.
Ishq hi ishq hai jahaan dekho,
Saare aalam mein bhar raha hai ishq.
Ishq maashuq ishq aashiq hai,
Yaani apna hi mubtala hai ishq.
Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen,
Kahin banda kahin Khuda hai ishq.
Kaun maqsad ko ishq bin pohuncha,
Aarzoo ishq wa mudda hai ishq.
Koi khwaahan nahin mahabbat ka,
Tu kahe jins-e-narawa hai ishq.
Meer ji zarad hote jaate hain,
Kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq..
»»  read more

Laga na dil ko kya sunaa nahin tu ne

Laga na dil ko kya sunaa nahin tu ne,
Jo kuch ke Meer ka is aashqui ne haal kiya..
»»  read more

Sharminda hon ge, jaaney bhi do imtihaan ko

Sharminda hon ge, jaaney bhi do imtihaan ko,
Rakhey ga tum ko kon Aziz, apni jaan sey....!
»»  read more