Showing posts with label Raat. Show all posts
Showing posts with label Raat. Show all posts
Thursday 25 October 2012
Thursday 30 August 2012
at 00:20 | 0 comments | Raat
SARDIO KI RATOO MAY
SARDIO KI RATOO MAY
KHUAB MAY KHIALOO MAY
SHARE KI KITABOO MAY
ADH KHILAY GULABOO MAY
HUSAN KAY HAWALOO MAY
SURMAIAY UJALOO MAY
CHAND MAY SITAROO MAY
DILLNASHIN ASHAROO MAY
SUBH KI DUAYOO MAY
SHAM KI ADAOO MAY
JAB BHE MAY NAY SOCHA HAY
JAB BHE MAY NAY DAYKA HAY
TUM SUNAI DAYTAY HO
TUM DIKAI DAYTAY HO
at 00:19 | 0 comments | Raat
AB RATT KI NAGAN DASTI HAY
AB RATT KI NAGAN DASTI HAY
NAS NAS MAY ZAYHAR UTARTA HAY
JAB CHAND KI KIRNAY TAZI SAY
IS DILL KO CHEAR KAY ATI HAY
JAB ANKE KAY ANDAR HI ANSOO
ZANGIROO MAY BHAND JATAY HAY
SAB JAZBOO PAY CHA JATAY HO
TAB YAD BUHAT TUM ATAY HO
JAB DARAD KI GHANJER BAJTI HAY
JAB RAKSS GAMOO KA HOTA HAY
KHUABO KI TALL PAY SARAY DUKE
WHAYSAT KAY SAZZ BIJATAY HAY
GATAY HAY KUHAISH KI LAY MAY
MASTII MAY JHOMTAY JATAY HAY
SAB JAZOO PAY CHA JATAY HO
TAB YAD BUHAT TUM ATAY HO
TAB YAD BUHAT TUM ATAY HO.
Saturday 25 August 2012
at 03:07 | 0 comments | Raat
Dil Ney Tnaha Jhaili Raat
Dil Ney Tnaha Jhaili Raat
Hijr Ke Raat, Sahaili Raat
Dinn Waley Kub Booj Sakkay
Mushkil Shaam Pahaili Raat
Ikk Safa Ke Tashreehien! !
Chand,chakkor,chanbaili,raat
Din Apney Har Dad Ka Dost
Iss Ke Aik Sahaili Raat
Ikk Sunsan Nagar Har Saans
Ikk Veraan Hawaili Raat
Iss Ka Roop " Harr " Ke Dhoop
Meri Sad Hathaili Raat
Iss Ke Aankh Se Chhalke Sham
Uss Ke Zulf Se Khaili Raat
Muhsin K Anjaam K Naam! !
Hijr Ke Nae Nawaili Raat
Sunday 29 July 2012
at 06:42 | 0 comments | Raat
kal Raat Ik Mahfil Hui
kal Raat Ik Mahfil Hui,
Mahfil Main Ik Baat Hui
Ik Chand Mujhay Nazar Aaya
Bas Ankhon Say Mulaqat Hui
Is Chand Ki Naram Nigahon Say
Is Dil Ki Har Ik Baat Hui
Is Chand Ki Ghani Zulfon May
Kab Sham Hui Kab Raat Hui
Bas Yehi Ik Baat Hui
Ik Naye Pyar Ki Shuro'wat Hui
Kal Raat Ik Mahfil Huii
Mahfil May Ik Baat Hui..
Wednesday 11 July 2012
at 09:48 | 0 comments | Raat
Udaas Shamon Ki Siskion Mein
Udaas Shamon Ki Siskion Mein !!
Kabhi Jo Meri Awaz Sunna !!
Tu Bety Lamho ko Yaad Kar Ke !!
In Hi Fizaon Mein Lot Aana !!
Tum Aya Karte Th Khawab Ban Kar !!
Kabhi Mehkta Gulab Ban Kar !!
Mein Khushk Honton Se Jab Pukaron !!
In Adon Mein Lot Ana !!
Meri Wafaon Ko Pas Rakhna !!
Meri Duaon Ka Pas Rakhna !!
Mein Khali Hathon Ko Jab Uthaon !!
Meri Duaon Mein Lot Ana !!
Wednesday 4 July 2012
Thursday 7 June 2012
at 11:20 | 0 comments | Raat
sham honay ko hai
sham honay ko hai
lal sooraj samandar maiN khonay ko hai
aur uske paray kuch parinday
qataraiN banaye huwe
unhi jangloN ko chalay
jin k pairoN ki shakhoN pe haiN ghonslay
yeh parinday
waheeN lot kar jayeN gay
aur so jayeN gay
hum hi hairan haiN
is makanoN k jangal maiN
apna kahiN bhi thikana nahiN
sham honay ko hai
hum kahaN jayeN gay?
Friday 1 June 2012
Tuesday 29 May 2012
at 11:27 | 0 comments | Raat
Kyun neend nahi aati
Kyun neend nahi aati
Kyun chain nahi parhta
Yeh raat nahi cut ti
Kuch baat nahi banti
Tanhayi yeh dasti hai
Ek aag bharakti hai
Apna hi nahi koi
Jo baat kare hum se
Sab neend karen aur hum
Jalte hi rahen tanha
Kis kis ko batayen hum
Kaise yeh guzari hai
Tanhayi ke aalam main
Her raat hi bhaari hai
Sab chain se sote hain
Hum raat ko jalte hain
Friday 25 May 2012
at 07:47 | 0 comments | Raat
Raat sunti rahi Mein sunata raha,
Raat sunti rahi Mein sunata raha,
Dard ki daastaan Mein batata raha,
Log,logoon se chahat nibhatay rahay,
Ik wo tha,Mera dil jalata raha,
Dhoop chaoon si uski tabiyat rahi,
Wo nigahein Milata churata raha,
Ik Mein hi piyasa Mara dosto,
Log peetay rahay Mein pilata raha,
Dil k MehMan khanay Mein ronaq rahi,
Koi aata raha koi jata raha,
HuM-Maktab ne sara sabak parh lia,
Mein ik naaM likhta aur Mitata raha
Thursday 10 May 2012
at 00:11 | 0 comments | Raat
Raat ke besukun khamoshi mein
Raat ke besukun khamoshi mein
ro raha hun ki so nahi sakata
rahaton ke mahal banata hai
dil jo aabad ho nahi sakata
dur shama-e-khayal ke manind
shama vadi ke jhilmilati hai
yas ke beqaran andhere mein
ek umid muskurati hai
dur parabat ke pas charvaha
kho gaya gamfaza taranon mein
bain karati hai ruh-e-zakhmalud
bansuri ke nahif tanon mein
tere jane ka gham bhulata hun
tere aane ke yaad aati hai
haye is bebasi ke aalam mein
kis zamane ke yaad aati hai
shab ko viran rahguzaron se
sar jhukaye hue guzarata hun
qahqahon mein qarar khoya tha
aansuon mein talash karta hun
Tuesday 1 May 2012
at 01:39 | 0 comments | Raat
Tanhayi Ki Yeh Kuch Aisi Ajab Raat Hai
Tanhayi Ki Yeh Kuch Aisi Ajab Raat Hai
Tujhse Judi Hui Har Yaad Mere Saath Hai
Kis Kadar Ki Thi Mohabbat Humne Tumse
Soch Kar Hui Aaj Ashqon Se Mulaqaat Hai
Kaisa Junoon Tha Us Ishq Mein Dil Ro Aya
Machal Utha Phir Se Har Woh Jazbaat Hai
Tu Mujhko Bewafa Keh Gaya Najane Kyo
Gar Chahna Bewafayi Hai , To Bewafayi Ki Raat Hai
Tadap Raha Hai Tanha Chand Bina Chandni K
Is Andheri Raat Mein Aaj Kuch Aur Hi Baat Hai
Yu Aye Zindagi Mujhe Akela Chordh Diya Tune
Ke Kafan Odh Rahi Mujh Par Aaj Yeh Raat Hai
Subscribe to:
Posts (Atom)