Showing posts with label love poetry for her. Show all posts
Showing posts with label love poetry for her. Show all posts

Tuesday 16 September 2014

Sad Urdu Poetry, Romantic Poetry, love poetry for her

Koi agar khalos-e-Dill se parhy mujhy
Me sar basar kitab tamanna dikhai doon

Har aeb shi mujh me magar aaj bhi mujh ko
Apno se khafa hony ka andaaz na aaya.

Mery Ban Jao
Mear kia hall he tery bina kabhi dekh to le
Ji rha hon tera bhula hoa wada ban kar.

Mery Ban Jao
Kal tak tha ahsaas kisi k hony ka
Aaj he sirf dard us ko khony ka

Hum dono ka nahi tha qasoor is me
Taqdeer ka fesla tha juda hony ka

Mery Ban Jao

Samjh jata hon lekin dair se me dao paich us ke
Wo bazi jeet jaata he mery chalak hony tak.

Mery Ban Jao

Aanso ahain tanhai werani or  Gham musalsal
Ik zara sa Ishk hoa tha kia kia virasat me de gya.
»»  read more

Tuesday 6 May 2014

Romantic Urdu Poetry 4

Ham kon hain kia hain

aquapearl.files.wordpress.com

Ham kon hain kia hain be khuda yad nahi
Apny Islaf ki koi bhi ada yaad nahi

Hian agar yaad to kafir k tarany ab tak
Han nahi yad to kaba k sada yad nhi

Bint-e-hawa ko nachaty sar mhfil ab bhi
Kitny sangdill hain k rasm haya yaad nahi

Aaj apni khidmat ka sabab ye he shayed
Aaj hum ko bhi to apna khuda yaad nahi


zindagi kis tarha bitao ge



Zindagi kis trha bito gy
jab pas hum ko na pao ge

Din me tanhaiyan satain gi
www.jucoolimages.com
rat ko chonk kar uth jao ge

Rat bhar neend Ku nhi aati
ye tum khud bhi na samj pao ge

Log pochain ge is tanhai ka
sabab kia batao ge kia chupao ge

Palkain har baar bheeg jayn gi
jab kabhi khul kar muskurao ge

Meri yaad boht satay gi
jab bhi barish me bhigo ge

Khud ko tanha na pao ge
har jaga mera aks pao ge

Jab bhi ji chahy lot aana tum
muntazir is dost ko pao ge

Ku zindagi ki rah main


Ku zindagi ki rah main majboor ho gye
Itny hoy qareeb k hum door ho gye

Aesa nahi k hum ko koi bhi khushi nahi
Lekin ye zindagi to koi zindagi nahi

Ku isky fesly hamin manzor ho gye
Paya tumhain to hum ko laga tum ko kho diya

Hum dill pe roy or ye dill pe ro diya
Palkon se khuab ku giry ku chor ho gye

Ku zindagi ki rah main majboor ho gye
Itny hoy qareeb k hum dor ho gye

Salam likhta he shayer 


Salam likhta he shayer tumhary husn k naam
Bikhr gya jo kabhi rangh perhan sar-e-bam

Nikhar gyi he kabhi subha dopher kabhi sham
kahi jo kiyamat reb pe saj gie hain qaba

Chaman me sar wzu snobar sanwar gye hain tamam
Bani basat-e-ghazal jab dbo liye dill ne

Tumhary saye rukhsar o lab me saghiro jam
Salam likhta he shayer tery husan k naam

Tumhary hath main he tabish hina jab tak
Jaha main baqi he dildari aros sukhan

Tumhara husan jawa he tu mehrba he falak
Tumhara dam he to dmsaz he hway watan

Agarcha tang hain oqat sakht hain alam
Tumhari Yad se shere he tlkhi ayam

Slam likhta he shayer tumhary husan k naam

http://1.bp.blogspot.com
http://1.bp.blogspot.com

»»  read more

Monday 5 May 2014

Romantic Urdu Poetry 3

Tum se bichar kar pehron sochta hon


Tum se bichar kar pehron sochta hon
Ab main ku or kis ki khater zinda hon

Ae khamosh khala k malik teri qasam
Bazm jaha main tujh se ziyada tanha hon

Jeeti jagti dunya k hangamon me
Yon lagta he jesy me ik saya hon

khoya he wo jesy hath lekiron me
Aesy apny hath ko takta rhta hon

Reza reza toot chuka hon andar se
Ghar se bahr gardan tan k chalta hon

Jany jis ka nam he amjid kon he wo
Such pocho to main ik jhota chehra hon


Romantic Urdu Poetry

»»  read more

Romantic urdu poetry 2

Bharkayn Meri Piyas ko aksar teri aankhain


Bharkayn Meri Piyas ko aksar teri aankhain
Shra mera chehra he samandar teri aankhain

Phir kon bla dad tabsumm inhain de ga
roy gi mujh se bichar kar teri aankhain

Bojal nazar aati hain bazahir mujhy lekin
Khlti hain boht dill me utar kar teri aankhain

Ab tak meri yadon se mtay nhi mtta
Bhigi hoi sham ka manzar teri aankhain

Mumkin ho to ik taza ghazal or bhi kh lon
Phir Orh na lain khuab ki chadar teri aankhain

Yon dekhty rehna usy acha nahi Mohsin
Wo kanch ka pekar he to pathar teri aankhain


Mohsin
»»  read more

Romantic Urdu Poetry 1

Manzil gham ki fizaon me


Manzil gham ki fizaon se libat kar ro lon
Tery daman ki hawaon se lipat kar ro lon

Jame may peny se pehly mera ji chahta he
Bikhri zulfon ki ghtaon se lipat kar ro lon

Ghanchon ki nigahon me nigahain dalon
Surkh pholon ki qabaon se lipat kar ro lon

Aany waly tery rasty me bichaon ankhain
Jany waly tery paon se lipat kar ro lon

Apny Majbor taqadus k shary Sagir
Der o kaba k khudaon se lipat kar ro lon

Romantic Urdu Poetry
»»  read more

Sunday 4 May 2014

Mujhy Shel ho gyi Manzalain

Mujhy Shel ho gyi Manzalain


Mujhy shel ho gyi manzalain wo ha k rukh badal gye
Tera hath hath me aa gya k charagh rah me jal gye

Wo ljay mery sawal par k utha saky na juka k sar
Uri zulf chehry py  is tarha k shobon k raz machal gye

Whi baat jo na wo kh saky mery shairo naghma main aa gyi
Whi lab na main jinhain chu saka kadar sharab main dhal gye

Wahi Astaa he whi jabee whi asak he whi astee
Dill zar tu bhi badal khi k jha k tor badal gye

Tujhy chahme mast pata bhi he k shabab garmi batram he
Tujhy chashme mast khabar bhi he k sab abgeny pigal gye

Mery Kam aa gai aakhirsh yhi ka dushi yhi gardshain
Barhain astaqdr meri manzalin k qadam k khar nikly


Mery Ban Jao
»»  read more

Misaal Barg main khud ko urana chahti hon

Poetry of Farzana Naina



Misaal barg main khud ko urana chahti hon
http://photos1.blogger.com
Hway tand pe maskn banana chahti hon

Wo jin ki aankhon me hota he zindagi me mlal
usi qabely se khud ko milana chahti hon

Jha k band hain sadiyon se mujh pe drwazy
Me ik bar usi ghar me jana chahti hon

sitam shar ki chokhat pe adal ki zanjeer
baray dad rasi ab hilana chahti hon

Najany kesy guzaron gi higar ki sa at
ghari ko tor k sab bhul jaana chahti hon

Musafton ko mily manzil talab neena
Wafa Ki rah main apna thikana chahti hon

Farzana Naina



Mery ban jao
»»  read more

Meri Khamoshi main

Meri Khamoshi main


Meri Khamoshi main bhi Ijaaz aay
Kisi simat se koi aawaz aay

Wo chehra najaany kha kho gya he
Khi se kabhi Koi dmsaz aay

Kisi ne tarasha na is dill ka pathar
Mery Shehr me ktny but saaz aay

Wo ur jay neli rago se nikal kar
Mery dard ko itni parwaaz aay

Saza be gunahi ki me kat ti hon
kaha mujh ko jeeny ka andaaz aay

Muhabat ae be deed pagal muhabat
Hamain chor de dekh hum baaz aay

dwa tshna kami ki le kar wo Nainaa
Kabhi to wo aay Bsid naaz aay

Mery Ban Jao

»»  read more

Saturday 26 April 2014

Romantic Urdu Poetry

Love Urdu Poetry For Her


tujhy chahty hain hum


Hum Se muhabaton ki numaaish na ho saky gi
Bas Itna Janty hain k tujhy chahty hain hum

Merybanjao.blogspot.com

Muhabat aazmani ho to


Muhabat aazmani ho to bas itna hi kafi he saghr
Zara Sa Ruth kar dekho manany kon aata he

Khud Ko Piyasa Rakhna


Sab ko serab-e-wafa karna khud ko piyasa rakhna
Mujh ko le doby ga ea dill tera darya hona

Aankhon ka he fareeb ya


Aankhon ka he fareeb ya aqse jamaal he
Aati he q nazar teri surat jaga jaga

Tum Ko ulja kar kuch


aquapearl.files.wordpress.com
Tum ko ulja kar kuch sawalon main
me ne ji bhar k tum ko dekh liya

Agar muhabat roh se


Agar muhabat roh se piyar karny ka naam he
To insan jism ko pany ki khuahish ku karta he

Muhabat Aesi Hoti he


Tum haso to khushi mujhy hoti he
to to aankhain meri roti hain

Tum dor jao to be cheni mujhy hoti he
Mehsos kar k dekh lo Muhabat esi hoti he

Hum ne kuch aesa tarasha


Hum ne kuch aesa tarasha he teri ankhon ko
Log sahr ki misalon se tujhy janty hain


Khushyon ki sham or yadon ka


Khushiyon ki sham or yadon ka ye sama
4.bp.blogspot.com/
Apni palkon pe har giz sitary na lain ge

Rakhna sambhal kar chand khushyan mery liye
Me lot aaon ga to Eid Mana le


Romantic Urdu Poetry



Humain tum se muhabat he
Hamara dosh he mana

Tumhain apna jo he mana
Tumhary bin jena marg jesa he

humain janat ka har ghosha bhi goya narg jesa he
Haqeeqat main agar socho

muhabat main ana ka kam hi kia he
chalo ab man bhi jao

k tumko apna manaty hain
humain tum se muhabat he

merybanjao.blogspot.com

Mujhy zindagi khny waly

wasishahpoetry.files.wordpress.com/

Mujhy zindagi kehny waly
Meri Zindagi Teri Ana k hathon

reza reza hogi phir yon hua toot gyi
bikhar gyi main jaan-e-jana

Kia muhabat muhabat isi kokhty hain
k ana ki maar mar di jaay.

Taluq tota hon to muqamal


Taluq torta hon to muqamal tor deta hon
Jesy main chor deta hon muqamat chor deta hon

Muhabat ho ya nafrat bhara rehta hon shdat se
Jidar se aa jay ye darya urdar mor deta hon

Yaqeen rakhta nahi hon kisi kachy taluq par
Jo dhaga tutny wala ho usko tor deta hon

Mery dekhy hoy sapny kahi murda na ho jayin
Ghrondy rait k tameer kar k phor deta hon

Adeem ab tak whi bachpan whi tkhreebkari he
Qafas ko tor deta hon parindy chor deta hon


Matam nahi karty


Gir jay jo diwar to matam nahi karty
Karty hain boht log magar hum nahi karty

He apni tabiyat me jo khami to yhi he
Hum ishk to karty hain magar kam nahi karty

Nafrat se to behtar he k rasta hi juda ho
Beqar guzar gahon ko bahaum nahi karty

Har sans me dozakh ki tapish si he
Magar hum surj ki trha aag ko mdham nahi karty

Kia ilm k roty ho to mar jaty ho faisal
Wo log jo ankhon ko bhi nam nahi karty

merybanjao.blogspot.com

Zindagi k har lamhy me


Teri Har ada muhabat si lagti he
Ik pal ki judai mudat si lagti he

Pehly nahi socha ab sochty hain
Zindagi k har lamhy main teri zarorat si lagti he


Bhari mehfel main tanha rehna


Bhri mehfel main tanha rehna acha lagta he
nabas ba me sochty rhna acha lagta he

Kabhi pholon main kabhi khayalon main
Tujh ko hi dhondty rehna acha lagta he

Meri zindagi ki khushyan tum se hain wabasta
rab se sirf tumhain hi mangna acha lagta he

Hamary darmiya chal rhi sadyon ki khamoshiyan
Kuch is tarha guftagu karna acha lagta he

Tumhary bagair zindagi ka koi tasawar hi nahi he
Kuch is tarha tumhari tamana karna acha lagta he

Tum hi ko chaha tum hi ko chahty hain
Tum hi ko chahty rehna acha lagta he

Main cheen longi tumhain dunya ki rasmon se
K mujhy zamany se bagawat karna acha lagta he

Romentic urdu poetry sms


Har waqat khush rehny ka mashwara dety hoy
Ro para wo aaj mujhko hosla dety hoye

kha talash kro ge tum


Kha talash karo ge tum mujh jesa Shakhs
Jo tumhary sitam bhi sahy or Tum se Muhabat bhi kary


Mujhy muhabat karna sikha gya



Mery Rag wo pe me sama gya wo shks
meri zindagi me cha gya wo shakhs

mery dill se dill mila gya wo shakhs
Mujhy khush naseeb bana gya wo shakhs

Mujhy de gya har khushi

meri aankhon se neend chura gya wo shaks

Jany kia baat thi us main aesi
Mujhy muhabat karna sikha gya wo shakhs


Romantic urdu poetry two lines


Aasani se koi mill jay to qismat ka sath he
Suli par char kar bhi jo na milain usy muhabat kehty hain

Kis kis k hain


Kis kis k hain bas tumhary hain
Inky ye alfaz kitny piyary hain

Be zuba Badlon ko 


be zuba badlon ko de rha apni zaba koi
lagta he asma ko suna rha he dard ki dasta koi

Samjhty thy dosron se


Samjhty thy dosron se boht mukhtalif tujhy
Kia maan lain k tu bhi hamara nahi rha

Kuch waqt ki rwani ne hamain


Kuch waqt ki rwani ne hamain yon badal diya
Wafa par ab bhi qaym hain magar muhabat cor di hum ne


Unhain Ye khuahish k hum


Unhain ye khuahish k hum Zuba se izhar karain
Humain ye arzu k wo dill ki zaba samjh lain

Uski nigah me koi


Uski nigah me koi jadu zaroor tha
Jis par bhi pari us k jigar main utar gyi


Nada thy jo rakhty 


Nada thy jo rakthy thy umeedain kisi par
Zaat Allah K siwa koi kisi ka nahi hota

Sahibe shriyat hain


Shhibe shriyat hain aap ak fatwa to dain
Rukh yaar py marna bhi shadat he kia

Sub hi tareef karty hain


Sub tareef karty hain meri tehreron ki
Kabhi koi nahi sunta mery lafzon ki siskiyan

Yun hi bachpan se


Yon hi bachpan se rakty rhy dill saf hum apna
Pata nhi tha k qeemat to chehron ki hoti he dill ki nahi

Romantic Urdu Ghazal


Kabhi Khud Bhi Mery pas aa meri baat sun mera sath de
Jo khalish hai dill se nikal ke mujhy ujalon se nijaat de

Tera Sochna mera mashghala tujhy dekhna meri aarzu
Mujhy din de apne khayal ka mujhe apne qurb ki rat de

Me akela bhtkon kha kha ye safar boht taweel he
Meri zindagi mery sath chal mery hathon main apna hath dy




Romantic Shayari




Kisi Manus lamhy main kisi manus chehry se
Muhabat ki nahi jati muhabat ho jati he

Jo bat hum keh nahi sakty


Jo bat hum keh nahi sakty usy hum farz karty hain
Cho hum farz karty hain k humain tum se muhabat he

Pehly socha tha k 


Pehly socha tha k ik safa ho khani biyan karny ko
Phir khyal aaya k iska naam hi kafi he is dastan k liye




Sad Urdu Poetry
sadpoetry.org
poetryimages.files.wordpress.com

http://itsmyideas.com/

Ak Chand Phir Naseeb Sai Dil Men Utar Gaya Sad... by FaizaSem
»»  read more