Showing posts with label special poetry. Show all posts
Showing posts with label special poetry. Show all posts

Tuesday, 12 February 2013

Usy kehna Qasm le lo

Usy kehna Qasm le lo
tmhary bad,gr hm ne,
Kisi ka khwab dekha ho
Kisi ko hm ne chaha ho
Kisi ko hm ne socha ho
Kisi ki aarzoo ki ho
Kisi ki justju ki ho
Kisi ki raah dekhi ho
Kisi ka Qurb manga ho
Kisi ko sath rkha ho
Kisi se aas rkhi ho
Koi umeed baandhi ho
Koi dil me utara ho
Koi gr tm se pyara ho
Koi dil mein bsaya ho
Koi apna bnaya ho
Koi rootha ho aur hm ne usay ro ro manaaya ho
December ki hseen rut mein
Ksi ka hijr jhaila ho
Kisi ki yaad ka mosum
Meray aangan mein khaila ho
Ksii se baat krny ko
Kbhi ye hont trsay hoon
Kisi ki bewfai pr
Kbhi ye nain brsay hoon
Usay Kehna qasam le lo,


»»  read more

Friday, 25 May 2012

Intezaar Ki Aaj Bhaut Lambi Ghadi Hai


Intezaar Ki Aaj Bhaut Lambi Ghadi Hai
Dulhan Ban K Aaj Maut Saji Khadi Hai
Sajado Aarti Mere Liye Aaj Dosto
Dulhan Se Milne Ki Mujhme Chah Aaj Badi Hai

Sajaya Khoon Se Laal Joda Tera Hai
Khoobsurat Aaj Wo Khoob Lag Rahi Hai
Na Tarsa Aab Aapne Is Deewane Ko
Maut Se Milne Ki Mujhme Chah Aaj Badi Hai

Saj Chuki Hai Barat Bus Baratiyon Ki Kami Hai
Aajao Mere Dosto Meri Maiyat Aakeli Padi Hai
Utha K Lie Chalo Aaj Mujhe Maut K Ghar Tum
Dulhan Se Milne Ki Mujhme Chah Aaj Badi Hai

Waqt-E-Ruksat Aalwida Ki Aab Ye Ghadi Door Nahi Hai
Intezaar Mein Maut K Aankh Meri Khuli Ki Khuli Hai
Dekhlo Aakhri Baar Mujhe Kafan Ka Sehra Utha K Dosto
Aaj Maut Mere Intezaar Mein Dulhan Bani Khadi Hai
»»  read more

Friday, 11 May 2012

Ye Betiyan Kesi Hoti Hain


Ye Betiyan Kesi Hoti Hain

Ye Paryon Jesi Hoti Hain

Ye Baat Baat Pe Roti Hain

Dil Hota Hai In Ka Nazuk Sa

Ye Bholi Bhali Hoti Hain

Baba Ki Ladli Hoti Hain

Mama Ki Dulari Hoti Hain

Guryon Se Khelta Bachpan Inka

Itni Jaldi Kese Beet Gaya

Aangan Soona Kar Jati Hain

Baba Ka Dard Samajhti Hain

Mama K Aansoo Pochti Hain.

Ye Betiyan Aesi Hoti Hain

Ye Betiyan Aesi Hoti Hain...♥
»»  read more

Saturday, 21 April 2012

Haakim-e-Shehr bata!


Haakim-e-Shehr bata!
Waqt k Shikanjon ne,
Khawhishon k phoolon ko,
Noch noch tora hai,
Kaya ye zulm thora hai...?
...
Dard k jazeeron ne,
Aarzu k jeevan ko,
Maqbaron mein dala hai,
Zulmatton k daaeray hain,
Log sab luterey hain,

Maut rooth bethi hai,
Zaat reza reza hai,
Taar taar daman hai,
Dard dard jeewan hai,
Shabnami si Palkain hain,
Qurb hai na doori hai,
Zindagi adhoori hai..
Ab yaqeen aya
k..

"Maut Bhi Zaroori Hai
»»  read more