Wednesday 7 December 2011

Bachpan ka zamana hota tha


Bachpan ka Zamana hota tha
Khushiyo'n ka Khazana hota tha
Chahat Chaand ko paanay ki
Dill Titli ka Dewana hota tha
Ronay ki wajah na hoti thi
Hansnay ka Bahana hota tha
Khabar na thi kuch subho ki
Na shamo'n ka Thikana hota tha
Mati kay Ghar banatay thay
Or un ko Girana hota tha
Gham ki Zubaa'n na hoti thi
Na Zakhmo'n ka Paymana hota tha
Barish me kaghaz ki kashti
Har Mausam suhana hota tha
Wo khail wo Saathi hotay thay
Or har Rishta Nibhana hota tha

0 comments:

Post a Comment