Showing posts with label Awesom Poetry. Show all posts
Showing posts with label Awesom Poetry. Show all posts

Thursday 15 August 2013

Mohabbat Hai Mujhy Tum Se

Mohabbat Hai Mujhy Tum Se,
Bas Itna Janta Hun Main,

Ye Kya Hai? Kyun Hai? Kaisey Hai?
Bataon Kis Tarha Tum Ko?

Chalo Socho Agar Main Tum Se,
Ye Poochun Kisey Kehtay Hain Be-Chaini?

Agar Koi Makeen Dil Ka,
Chala Jaye Kaheen Kuch Din,
To Neendein Kyun Nahi Aateen?

Kabhi Jo Baat Na Ho To Ye Saansen Kyun Nahi Aateen?

Koi Jo Dost Pyara Ho Agar Wo Rooth Jaye To,
Hansi Phir Kyun Nahi Aati?

Chalo Itna Bata Do Tum,
Nikaalain Machli Pani Se,
To Zinda Kyun Nahi Rehti?

To Phir Tum Ko Bataon Ga,
MOHABBAT KAISAY HOTI HAI


»»  read more

Kabhi yoon bhi ho tere sath main


Kabhi yoon bhi ho tere sath main

Kabhi yoon bhi ho tere sath main
Hary paniyo'n mai safat karu'n
Ho hawa bhi or mizaj ki
Chalay badbaan se rooth kr
Kahin door ly chaly kashtiyaa'n
Kahin door khail he khail mai
Hawa sahilo'n k faraib mai
kahin saans lay to qayyam ho
Hawa saans ly to qayam ho
Kisi aabshaar ki oot mai
Jahan chaand bhi lagy mom sa
jahan aahatein bhi koi na hon
wahan ek shab yun basar karein
k palon mai sadiyaa'n guzaar dein
Na shumar sadiyon mai saal ka
Na hon saal maah se aashna
hamein wapsi ka khayal ho
To ho kaash yu'n
To ho kaash yu'n
Sabhi baadbaan hon phatay phatay
kisi raasty ka nishan na ho
Kabhi yoon bhi ho...


»»  read more

Monday 12 March 2012

Sikha di bewafai bhi




Sikha di bewafai bhi tumhein zalim zamany nay

K tum jo seekh letay ho…ham hi pe aazmaty ho




»»  read more

Sunday 11 March 2012

Tum mujh per ajib asar rakhtay ho





Tum mujh per ajib asar rakhtay ho


Meray andron-e-Dill ki khabar rakhtay ho


Hum shayad tumko bhula hi detay magar


Tum yaad aanay k saray hunar rakhty ho



»»  read more

Saturday 10 March 2012

Dukh Noshta Hai To Aandhi Ko Likha, Aahista






Dukh Noshta Hai To Aandhi Ko Likha, Aahista,
Aye Khuda Ab Kay Chale Zard Hawaa, Aahista, 

Khawaab Jall Jaien Meri Chashm-e-Tamanna Bujh Jaaye
Bass Hatheli Se Uray Rang-e-Hina, Aahista,

Zakhm Hi Kholne Aai Hai To Ujlat Kaisi ?
Chuu Mere Jism Ko, Aye Baad-e-Sabaa, Aahista,

Tootne Aur Bekharne Ka Koi Mosam Ho
Phool Ki Ek Dua, Maoj Hawaa, Aahista,

Jaanti Hoon K Becharna Teri Majboori Hai

Par Meri Jaan Mile Mujhko Sazaa, Aahista,

Meri Chahat Mein Ab Soch ka Rang Aane Laga
Aur Tera Piyar Bhi Shiddat Mein Howa, Aahista,

Neend Pe Jaal Se Parne Lage Awaazon Kay
Aur Pher Hone lagi Teri Sadaa, Aahista,

Raat Jab Phool Kay Rukhsaar pe Dhere Se Jhuki
Chaand Ne Jhuk Kay Kahaa, Aur Zara Aahista.



»»  read more

Teri Aankhon Mein Aanso





Teri Aankhon Mein Aanso They Meri Khatir..!

Wohi Ek Lamha Mujhy Zindagi Se Pyara Laga.. !!!



»»  read more

Saturday 3 March 2012

Manzar Se Wohi Thathak Rahi Hoon






Manzar Se Wohi Thathak Rahi Hoon
Hayrat Se Palak Jhapak Rahi Hoon,

Yeh Tu Hai Kay Mera Wahmaa Hai
Band Aankon Se TujhKo Tak Rahi Hoon,

Jaise Kay Kabhi Na Tha Ta`aruf
Yoon Milte Howe Jhijar Rahi Hoon,

Pehchaan Main Teri Roshni Hoon
Aur Teri Palak Palak Rahi Hoon,

Kiya CHain Mila Hai, Sar Jo Us Kay
Shaano Pe Rakhe Sisak Rahi Hoon,

Pathar Pe Khuli, Pa Chashm-e-Gul Mein
Kaante Ki Tarah Khatak Rahi Hoon,

Jugnu Kaheen Thak Kay Gir Chuka Hai
Jangal Mein Kahaan Bhatak Rahi Hoon,

Guriya Meri Soch Ki Cheni Kiyaa
BAchi Ki Tarah Bilak Rahi Hoon,

Ek Umr Howi Hai Khud Se Larte
Andar Se Tamaam Thak Rahi Hoon,

Rass Pher Se Joron Mein Jaa Raha Hai
Main Shak Pe Kab Se Pakk Rahi Hoon,

Takhleeq-e-Jamaal-e-Fan ka Lamhaa
Kaliyon Ki Tarah Chatak Rahi Hoon.



»»  read more

So Bhi Jaaon To Har Ek Khawab







So Bhi Jaaon To Har Ek Khawab Bura Hi Dekhoon
Main Kin Aankhon Se Dil-o-Jaan Ki Tabahi Dekhoon,
Dil Yeh Chahe Kay Palat Jaaon Khud Apne Ghar Ko
Jab Bhi Manzil Pe Bhatke Howe Raahi Dekhoon,

Tu Saher Hai TO Ufaq Se Koi Sooraj Bhi Nikaal
Main Kahaan Tak Tere Maathe Ki Siyahi Dekhoon,

Jurm-e-Na-Karda Gunahi Ki Saza Yeh Hai Kay Main
Apni Sochon Ko Bhi Zanjeer Bapaa Hi Dekhoon,

Baarhaa Tark-e-Taluq Pe Yeh Socha Maine
Tujhko Dhoondhon, Teri Afsurda Nigahi Dekhoon,

Woh Bhi Kiya Shaks Hai Khulta Hi Nahi Bhed Us Ka
Jab Bhi Dekhon Usay Duniya Se Khafaa Hi Dekhoon,

Kis Se Poochon Main Pata Apne Puraane Ghar Ka
Ajnabi Shaher Mein Har Shakhs Hi Niyaa Dekhoon,

Wussat-e-Dasht Ki Tanhi Se Darr Lagta Hai
Koi Zehro Nahi, Naqsh-e-Kaf-e-Paa Hi Dekhoon,

Mere Saathi To Meri Saff Se Alag Thehre Hain
Apne Haq Mein Kisi Dushman Ki Hawaahi Dekhoon,

Mere "Mohsin" Tera Mayaar-e-Nazar Kuch Bhi Sahi
Main To Insaan Kay Paikar Mein Khuda Hi Dekhoon.



»»  read more

Thursday 1 March 2012

Kaha na Pyaar hai tum say






کہا ناں ، پیار ھے تم سے

تو پھر کیوں ضد تمہاری ھے

کہ جب بھی میں ملوں تم سے

یہی اظہار ھو لب پہ

مجھے تم سے محبت ھے

تمہیں معلوم ھے جاناں

محبت تو محبت ھے

یہ تو آنکھوں میں دکھتی ھے

حسیں سے خواب کی صورت

اسے کہنا نہیں پڑ تا ،،

بہت چُپ چاپ جز بہ ھے

دبے پاؤں ہی چلتا ھے ،،،

مگر جو نقش اس کے ہیں

بہت ہی گہرے ھوتے ہیں

اُنہیں کہنا نہیں پڑ تا

مگر اظہار ھوتا ھے

کبھی باتوں کی خوشبو سے

کبھی آنکھوں کی شوخی سے

تو پھر کیوں ضد تمہاری ھے

کہ جب میں ملوں تم سے

یہی اظہار ھو لب پہ

مجھے تم سے محبت ھے

مگر تم جانتے ھو ناں

تمہاری بات کو جاناں

نہیں میں ٹال سکتی ھوں

چلو میں تم سے کہتی ھوں

مجھے تم سے محبت ھے
 




»»  read more

Torr kar hum ko aise




Torr kar hum ko aise bakhero ab ki baar
Na phir say jurr payein hum, na phir say torr pao tum.





»»  read more

Monday 27 February 2012

Kitaab meri , qalam mera



Awesome Poetry



Kitaab meri , qalam mera , soch b meri..........

mager jo likhay hain main ne baab us k hain...!!





»»  read more

Saturday 18 February 2012

Mera seedha saadha mizaaj tha

Mera seedha saadha mizaaj tha, Mujhy ishq honay ki kya khabar

Tere ik tabassum-e-Naaz nay, Mere saaray zauq badal diye.
»»  read more

Tuesday 14 February 2012

Ruka hua hai aj dhoop chaon ka mosam




Ruka hua hai aj dhoop chaon ka mosam

Guzar raha hai koi dil s badlo ki terha....
 




»»  read more

Sunday 12 February 2012

Ab Bataao Jaayegi Zindagi Kahaan Yaaro

Ab Bataao Jaayegi Zindagi Kahaan Yaaro
Pher Hain Barq ki Nazren Su-e-Aashiyaan Yaaro,

Ab Na koi Manzil Hai Aur Na Rah_Guzar koi

Jaane Qaafila Bhatke Ab kahaan kahaan Yaaro,
...
Phool Hain k Laashen Hain Baagh Hai K Maqtal Hai
ShaaKh ShaaKh Hotaa Hai Daar ka Gumaan Yaaro,

Maot Se Guzar kar Yeh kaisi Zindagi Paai

Fikr Paa-ba-Jaolaan Hai Gung Hai Zabaan Yaaro,

Turbaton ki Shamyen Hain Aur Gehri Khaamoshi

Jaa Rahe The kis jaanib aa gaye kahaa.N Yaaro,

Sirf Zindaa Rehne ko Zindagi Nahi kehate

kuch Gham-e-Muhabbat Ho kuch Gham-e-Jahaan Yaaro.




»»  read more

Wednesday 8 February 2012

Wafa ki Laaj main...






Wafa ki laaj main ek doosray ko mana lena hi acha hai...

Anna ki jang main aksar judai jeet jaati hai.


»»  read more

Monday 16 January 2012

Wohi Sochai'n, Wohi Baatai'n



Wohi Sochai'n, Wohi Baatai'n
Wohi Andaz , Ab Bhi Hai

Bohat Bechain Lagte Ho

Koi To Raaz Ab Bhi Hai...

 
Main Kaise Us Ki Yaado'n
Aur Waado'n Se Nigah Phero'n

Wo Mujh Se Roothne Wala

Mera Humraz Ab Bhi
Hai

Ye Tum Ho Is Ta'aluq Par

Pareshan Aur Nadim Ho

Magar Is Be-los Rishte Par

Mujhe Tou Naz Ab Bhi
Hai.....




»»  read more

Monday 26 December 2011

Mera Seedha Sadha Mizaaj tha







Mera Seedha Sadha Mizaaj tha, Mujhy Ishq Honay ki kya Khabar,

Tere Ik Tabasum-e-Naaz Nay Meray Saray Zauq Badal Diye..




»»  read more

Qissay Meri Wehshat kay jo Marqoom hain saray,






Qissay Meri Wehshat kay jo Marqoom hain saray,
Aa Dekh Tere Naam say Mosoom hain saray.

Bas Es Liye Har kaam Adhoora hi Para hai,
Khadim Bhi meri Qaum kay Makhdoom hain Saray.

Har Jurm meri zaat say Mansoob huva hai,
Kya mere siva Shehar main Masoom hain Saray.

Ab Kaun meray Paaon ki Zanjeer ko Kholay?
Hakim meri basti kay bhi Mehkoom hain saray!

Shayad yeh zarf hai jo khamosh hoon ab tak,
Warna to tere Aib bhi Maloom hain saray!





»»  read more

Phir Aaj Muskura Kay Unho'n nay Kiya Salam






Phir Aaj Muskura Kay Unho'n nay Kiya Salam

Phir Ik Zara Si Aas pay Jeena Para Hamein..!!!





»»  read more

Sunday 25 December 2011

Chashm-e-Saaqi nay kya khail racha rakha hai







Chashm-e-Saaqi nay kya khail racha rakha hai
koi zahid, koi Mai-khwar nama rakha hai

Jo phansa phir na kabhi us nay rehai Maangi,
Teri Zulfon nay ajab jaal bicha rakha hai

Husn Ishq ho dono ka asar yaksaa hai,
Cheez hai magar naam juda rakha hai.

Choom laiti hain latak kar kabhi chehra kabhi Lab,
Tum nay zulfo'n ko bohot sir pay charha rakha hai.

Tero Makh-moor Nigaho'n say hai Ronaq Saaqi
Warna SAAQI Tere Mai-Khanay main kya rakha hai.



»»  read more