Sunday 25 December 2011

Ham nay khushiyo'n ki Tarah dukh bhi Ekath'ay dekhay




Ham nay khushiyo'n ki Tarah dukh bhi Ekath'ay dekhay
Safha-e-Zeest ko palto gay to yaad aao'n ga

Jis Andaz mai hotay thay mukhatib mujh say
Khat kisi or ko likho gay to yaad aao'n ga,

Sard Raaton kay mehektay huvay san'naton main
Jab kisi phool ko Choomo gay to yaad aao'n ga

Ab to yeh Ashk main Honto say chura leta hoon
Hath say khud Inhein poncho gay to yaad aao'n ga,

Shaal pehnaye ga ab kon December main tumhein
Barishon main kabhi bhego gay to yaad aao'n ga

Es main shamil hai mere bakht ki Tareeki bhi,
Tum siyah rang jo pehno gay to yaad aao'n ga,

Tum Meri aankh kay Taiwar na bhula pao gay
An-kahi baat ko samjho hay to yaad Aao'n ga

Aaj ko Mehfil-e-Yaara'n pe ho Maghroor bohot
Jab Kabhi toot kay bikhro gay to yaad aao'n ga



0 comments:

Post a Comment