Showing posts with label Wasi Shah. Show all posts
Showing posts with label Wasi Shah. Show all posts

Thursday 6 February 2014

Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai...

Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai,
Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai,

Mere ishq mein shayed koi kami huyi ho,
Tera hussn to ab bhi paagal kar deta hai,

Aesi lazzat kahin nahin milti, shayed woh,
Apna pyaar bhi chaaye mein hall kar deta hai,

Dil mera veeran hua to hasrat kesi,
Hijar ka zeher to daryaa ko thall kar deta hai,

Mujh ziddi ko rab bhi raazi na kar paye,
Lekin teri aankh ka kaajal kar deta hai,

Tere lamss ka jadu bhi kesa jadu hai,
Jiss ko chuu le us ko sandal kar deta hai,

Tera chahra har chehre per chaa jata hai,
Yeh manzar har manzar aujhal kar deta hai,

Aankh ke registaa’n ko teri yaad ka badal,
Chuu jaye to pal mein jal’thall kar deta hai.
»»  read more

Na tumhey hosh rahey...


Na tumhey hosh rahey or na mujhey hosh rahey,
Is qadar toot kay chaaho mujhey pagal kar do...!
»»  read more

Sunday 25 December 2011

Ham nay khushiyo'n ki Tarah dukh bhi Ekath'ay dekhay




Ham nay khushiyo'n ki Tarah dukh bhi Ekath'ay dekhay
Safha-e-Zeest ko palto gay to yaad aao'n ga

Jis Andaz mai hotay thay mukhatib mujh say
Khat kisi or ko likho gay to yaad aao'n ga,

Sard Raaton kay mehektay huvay san'naton main
Jab kisi phool ko Choomo gay to yaad aao'n ga

Ab to yeh Ashk main Honto say chura leta hoon
Hath say khud Inhein poncho gay to yaad aao'n ga,

Shaal pehnaye ga ab kon December main tumhein
Barishon main kabhi bhego gay to yaad aao'n ga

Es main shamil hai mere bakht ki Tareeki bhi,
Tum siyah rang jo pehno gay to yaad aao'n ga,

Tum Meri aankh kay Taiwar na bhula pao gay
An-kahi baat ko samjho hay to yaad Aao'n ga

Aaj ko Mehfil-e-Yaara'n pe ho Maghroor bohot
Jab Kabhi toot kay bikhro gay to yaad aao'n ga



»»  read more

Thursday 1 December 2011

Dekho gay hamein roz magar baat na ho gi

Dekho gay hamein roz magar baat na ho gi
Ek sheher main reh kar bhi milaqat na ho gi

Kehna hai jo keh dalo abbhi waqt hai baqi
Kal hum to ho'n_gay magar Surat-e-Halat na hogi

Jo puchna hai tum ko abhi puch lo warna
kal shehar main phir Rasm-e-Sawalat na hogi
 
Din itnay huvay taweel hijrr k log
Tarpo gay sare-e-Sham magar raat na ho gi

Yeh soch k bhi dill tarap utha hai yaro
Bichrein gay is tarah, k kabhi mulaqat na ho gi.
»»  read more

Saturday 26 November 2011

Udaasiyon mai jeena aadat ban gai hai 'WASI'

Udaasiyon mai jeena aadat ban gai hai 'WASI'

Jin say umeed thi yaad rakhnay ki wohi bhool gaye hamein
»»  read more

Thursday 24 November 2011

Tarapti rahi hai aas ki kirno pe zindagi


Tarapti rahi hai aas ki kirno pe zindagi
Lamhay judaiyon k maah-o-saal ho gaye
Jo kabhi har roz mila karty thay 'WASI'
Wo chehray to ab khwab-o-Khyal ho gaye.
»»  read more

Tuesday 22 November 2011

Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota


Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Tu Bade Payar Say Chao Say Bade Maan K Saath

Apni Nazuk Si Kalayi Mein Chadhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi Say Furqat K Khizan Lamho Mein

Tu Kisi Soch Mei Doobi Jo Ghumaati Mujh Ko
Mein Tere Hath Ki Khushboo Say Mehak Jata

Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhay Chooma Karti
Tere Honton Ki Hidat Say Dahak Sa Jaata

Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Kay Safar Pay Jaati
Mar Mareein Haath Ka Takiya Banaya Karti

Mein Tere Kaan Say Lag Kar Kayi Baatein Karta
Teri Zulfon Tere Gaal Ko Chooma Karta

Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Mein Teri Rooh K Gulshan Mein Mehak Ta Rehta

Mein Tere Jism K Aangan Mein Khanakta Rehta
Kuch Nahi To Ye Bay Naam Sa Bandhan Hota

Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
»»  read more