Saturday, 3 December 2011

Udaas Tehreer parh k meri, Meray sanam muskura na dena


Udaas Tehreer parh k meri, Meray sanam muskura na dena
Ye Aakhri khat main likh raha hoon, Khyaal karna jala na dena

Guzar rahi hai Tumhari kaisi Bichar k hum say Rula k hum ko
Haqeeqato'n ko zarur likhna anaa ki khatir chupa na dena

Koi jo puchay kidha gaya wo? Jo teri mehfil ka tha sahara
Jo Furqato'n ka sabab banay thay, Kisi bashar ko bata na dena

Main marr bhi jaao'n to Muskurana, Ehsas-e-Gham ki na chot khana
Jo Karb-e-Gham say Nigahein bheegain, To Rukh say Aanchal hata na dena

Lahu say Tehreer kar raha hoon Main apni saari kahani MOHSIN
Jo phaar bhi do to paas rakhna, Hawa main Tukray ura na dena.

GUll

0 comments:

Post a Comment