Saturday 3 December 2011

Bahaar Rut Main Ujaar Rastay


Bahaar Rut main ujaar rastay,
Takka karo gay to Ro paro gay
Kisi say milnay ko jab bhi MOHSIN
Saja karo gay to Ro paro gay

Tumharay wadon nay yaar mujh ko
Tabah kiya hai kuch is tarah say
Kay zindagi main jo kabhi kisi say
Dagha karo gay to Ro paro gay.

Main jaanta hoon meri Mohabbat
Ujaar day gi tumhein bhi Aisay
K Chaand raaton main jab kisi say
Mila karo gay to Ro paro gay.

Barasti barish main yaad rakhna
Tumhein sataein gi meri Aankhein
Kisi wali k mazaar per tum
Dua karo gay to Ro paro gay.

0 comments:

Post a Comment