Sunday 18 December 2011

Unkay Aanay ka hai Inkaan Khuda Khair karay,





Unkay Aanay ka hai Inkaan Khuda Khair karay,
Dill Pay Guzray Gay Yeh Toofan Khuda Khair Karay.

Wo to Hain Oonchay Mehlo'n Kay Rehnay Walay,
Aur Mera Ghar Baya'Baan Khuda Khair Karay.

Unka Kehna hai kay Mehfil Main Uthaaein gay Naqaab
Mera Kho Jaye na Emaan Khuda Khair karay.

Wo Yeh Kehtay Hain Es baar Judai Hogi
Main Yeh Kehti Hoon meri jaan Khuda Khair karay

Main nay Maangi hai Wafa Aur Wafa kay Badlay,
Us nay Maangi hai meri Jaan Khuda khair karay..!!!




0 comments:

Post a Comment