Sunday, 12 February 2012

Ab Bataao Jaayegi Zindagi Kahaan Yaaro

Ab Bataao Jaayegi Zindagi Kahaan Yaaro
Pher Hain Barq ki Nazren Su-e-Aashiyaan Yaaro,

Ab Na koi Manzil Hai Aur Na Rah_Guzar koi

Jaane Qaafila Bhatke Ab kahaan kahaan Yaaro,
...
Phool Hain k Laashen Hain Baagh Hai K Maqtal Hai
ShaaKh ShaaKh Hotaa Hai Daar ka Gumaan Yaaro,

Maot Se Guzar kar Yeh kaisi Zindagi Paai

Fikr Paa-ba-Jaolaan Hai Gung Hai Zabaan Yaaro,

Turbaton ki Shamyen Hain Aur Gehri Khaamoshi

Jaa Rahe The kis jaanib aa gaye kahaa.N Yaaro,

Sirf Zindaa Rehne ko Zindagi Nahi kehate

kuch Gham-e-Muhabbat Ho kuch Gham-e-Jahaan Yaaro.




0 comments:

Post a Comment