Saturday 10 March 2012

Dukh Noshta Hai To Aandhi Ko Likha, Aahista






Dukh Noshta Hai To Aandhi Ko Likha, Aahista,
Aye Khuda Ab Kay Chale Zard Hawaa, Aahista, 

Khawaab Jall Jaien Meri Chashm-e-Tamanna Bujh Jaaye
Bass Hatheli Se Uray Rang-e-Hina, Aahista,

Zakhm Hi Kholne Aai Hai To Ujlat Kaisi ?
Chuu Mere Jism Ko, Aye Baad-e-Sabaa, Aahista,

Tootne Aur Bekharne Ka Koi Mosam Ho
Phool Ki Ek Dua, Maoj Hawaa, Aahista,

Jaanti Hoon K Becharna Teri Majboori Hai

Par Meri Jaan Mile Mujhko Sazaa, Aahista,

Meri Chahat Mein Ab Soch ka Rang Aane Laga
Aur Tera Piyar Bhi Shiddat Mein Howa, Aahista,

Neend Pe Jaal Se Parne Lage Awaazon Kay
Aur Pher Hone lagi Teri Sadaa, Aahista,

Raat Jab Phool Kay Rukhsaar pe Dhere Se Jhuki
Chaand Ne Jhuk Kay Kahaa, Aur Zara Aahista.



0 comments:

Post a Comment