kabhi kitaabon mein phool rakhna
kabhi darakhton pe naam likhna
humein bhi yaad aaj tak woh
nazar se harf-e-salam likhna
woh chaand chehray woh bahkee baatein
sulagtay din thay mahektee raatein
woh chhotay chhotay se kaaghazon par
muhabbaton ke payaam likhna
gulaab chehron se dil lagaana
woh chupke chupke nazar milaana
woh aarzoo-won ke khwab bun-na
woh qissa-e-naa-tamaam likhna
mere nazar ki haseen fazaa-won
kabhi jo un ka nishaan paao
to poochhnaa yeh kahan gayay woh
kahan hai un ka qayam likhna
0 comments:
Post a Comment