Jo Hadsy yeh jahan mery naam karta he
Mera shour unhain nazar-e-Jaam Karta he
Hamary chaak-e-Garebaan Se khelny walo
Humy bahar ka suraj salam kertaa he
Mery Ban Jao
Usy juda huy bhi zamana boht hua
Ab kiya kahain ye qisa puranaa hua
Dhalti na thi kisi bhi jatun se sahb-e-firaq
ai marg-e-Nagahan Tera ana bohut hua
Mery Ban Jao
Tum or fareb kho bayan-e-raqib se
Tum sy to kam gila hai ziyada nasib se
Goya tumhari yad hi mera ilaaj he
hota he pahron zikar tumharaa tabeeb se
Barbaad-e-Dill ka aakhri sarmaya thi umeed
Wo bhi to tum ne cheen liya mujh ghareeb se
Dhundla chali nigah dam-e-wapsi hai ab
aa paas a ke dekh lu tujh ko qarib se
Mery Ban Jao
Chand nikle kissi jaanib teri zebai ka
Rang badle kisi suraat shab-e-Tanhaai ka
Dolat-e-lab se phir ai khusraw-e-shirin-dahaan
aj reza ho koi harf shanshai ka
Did-o-Dill ko sambhaloo ke sar-e-sham-e-Firaaq
Saza-o-Sanam baham puhncha hai ruswaai ka
Mery Ban Jao
Main Bhi khamosh nigahon se usy dekhtaa hon
Wo bhi chupke sy kabhee aa k sada deti hai
Kya khabar kall ki mager humne suna he aksar
Rafta rafta yeh ada pyaar barha deti hai
Mery Ban Jao
Zikar-e-Ulfat jab chala ek hadsa yaad aagaya
Zakham dilke has diye wo bewfa yaad aagya
Is tarh na guzri darke maron ki raat
Dard kuch itna badha bas khuda yad aa gya
Mery Ban Jao
0 comments:
Post a Comment