Yadain aksar hoti hain satany k lye
Koi roth jata he phir man jany k liye
Rishty nibhana koi mushkel to nahi
Bas dilon me pyaar chahiye use nibhane ke liye
Mery Ban jao
Teri zulfon se judaai to nahi mangi thi
Qaid maangi thi rihaai to nahi mangi thi
Meny kya jurm kia aap khafa ho bethy
Pyaar manga tha khudaai to nahi mangi thi
Mera haq tha teri ankhon ki chalakti me Par
Cheez apni thi parayi to nahi maangi thi
Chahnewalon ko kabhi tony sitam bhi na diya
Teri mehfil main ruswaai to nahi maangi thi
Dusmani ki thi agar wo bhi nibhata zalim
teri hasrat me bhalai to nahi mangi thi
Mery Ban Jao
Ishq to baazi hai taash ki
Toot te banty vishwaas ki
Mery Ban Jao
Dheery dheery Door hoty gaye
Waqat ke aagy majbor hoty gaye
Shak ma humny aesi chot khai
Hum bewafa or wo bekasoor hoty gaye
Mery Ban Jao
Me kisi ko kia ilzaam don apni mot ka sahil
Yaha to staany waly bhi apny thy dafnaany waly bhi apny
Mery Ban Jao
Zuba khamosh dill gumsum magar ye aankh nam kyon hai
Jo apny hi na ho sake unhain khoneka kya gham hai
Mery Ban Jao
0 comments:
Post a Comment