kaar-e-duniya main kuch aye dil nahi behtar tu bhi
koocha-e-ishq se chun laya hai kankar tu bhi
jab talak baam-e-falak par hai, sitara tu hai
aur agar toot ke gir jaye tau pathar tu bhi
ye qanaa’t bhi muhabbat ki ataa hai warna
shehr main aur buhat, aik gadager tu bhi
mere andazay se kuch barh ke thi zalim duniya
paaon rakh rah-e-tamanna pe sanbhal ker tu bhi
ajnabi lagta hai kiyun aalam-e-bedaari mujhay
kahin rehta hai mere khwaab ke andar tu bhi
main usi morr pe manzil ki talab chorr aai
ho liya jab se mere saath safar per tu bhi
main kiran war shab-e-mah main tujh per utri
mauj der mauj utha ban ke samander tu bhi
mangna bhool gai main tau tamanna ka sila
do jahan saamnay phailay thay baraber tu bhi
0 comments:
Post a Comment