Wednesday, 19 February 2014

Mujhe khud se hain shikaytain Mujhe zindagi se gilaa nahi

Mujhe khud se hain shikaytain Mujhe zindagi se gilaa nahi
Ke jo chaha mene woh paa liya, Nahin aesa kuch jo mila nahi

Mere aas paas hai roshni, Mere raaston mein chirag hain, 
Yeh tere karam ka hai mojzaa, Meri justuju ka silaa nahi

Teri aankh se jo haseen ho, Woh nigaah jag main bani nahi
Tere rukh ko jis se misaal doon, Koi aesa phool khilaa nahi 

Yeh jo teri zulf ka hai haashia, Yeh jo tera chehra hai khush’numa, 
Koi raat aesi siyaah nahin, Kisi subaah mein yeh jala nahi

Yeh jo mehr-o-maa ki hain haaltain! Yeh jo aayino ki hain hairtain, 
Hain azzal se sab yeh isi tarah, Koi apni jagha se hillaa nahi

0 comments:

Post a Comment