Wednesday, 12 February 2014

Tumhaara naam bhi sun lun to roushni ho jaye


Ghubaar-e-tab’ mein thoRi bahut kami ho jaye
Tumhaara naam bhi sun lun to roushni ho jaye

Zara khayaal karo! waqt kis Qadar kam hai
MaiN jo Qadam bhi uThaluN woh aakhri ho jaye

QaymaateiN to hameshaa guzartii rahtii haiN
‘azaab us ke liye jis ko aa-gahee ho jaye

Guzar rahe haiN mere raat din laRaayii meiN
MaiN sochta huN K mujh ko shikast hi ho jaye

Ajeeb shaksh hai! tabdeeel hi nahii hotaa!
Jo us ke saath rahe chand din, wohii ho jaye

Meraa naseeb kinaaraa ho yaa samundar ho
Jo hogayii hai to lahroN se dushmani ho jaye

Tamaam umr to doori mein kaT gayi merii!!
Na jaane kya ho? agar uss se dosti ho jaye

Bus aek waqt mein saari balaayeiN TooT paRiN
Agar safar ye kaThin hai to raat bhi ho jaye

MaiN so na jauN, jo aasaaniyaaN muyassar hoN
MaiN mar na jauN, agar khatm tishnagi ho jaye

Nahi zaroor, K ooNchii ho aasmaanoN se!!
Yehi bahut hai zamiiN paoN par khaRi ho jaye

Tamaam umr simaT aayi hai ek lamhay meiN
MaiN chahta hun K hona hai jo abhi ho jaye

Wohi huN maiN! wohi imkaN ke khel haiN Shahzad
Kabhi feraar bhi mumkin na ho, kabhi ho jaye

0 comments:

Post a Comment