Tuesday, 15 April 2014

Ajab hain uljhnen meri ajab tarz-e-zindgi hai


Ajab hain uljhnen meri ajab tarz-e-zindgi hai
Kbhi gham hy apna saya kbhi be-naam si khushi hai,

Kis pe karoon bharosa? Kis se karoon me shikwa
Sab naam ke hain rishte barf chehron pe jami hai,

Chaha tu hai sbhi ne par apny apny dhang se
Jana nhi kisi ne meri zat ki jo kami hai,

Mein ne to Jaan-o-Dil se nibhay sarey rishte
Iska sila to dekho ABID ankhon mein bas nami hai,

Khud ko bana lo sang-dil yehi sekha hy is chaman se
Yehi dastan-e-zindgi hy dunya lafzon se bas saji hai.

0 comments:

Post a Comment