Wednesday 14 May 2014

Noshi gilani, Noshi Gelani Poetry, Koi mujhko mera bharpoor sarapa la de,


Koi mujhko mera bharpoor sarapa la de
Mere bazoo mmeri aankhen mera chehra la de,

Aesa darya jo kisi aur samandar mein girey
Is se behtar hai ke mujhko mera Sehra la de,

Kuch nahin chahiye tuhj se ae meri umre rawan
Mera bachpan mera jugnoo meri Gurya la de,

Nayya mosam meri beenai ko tasleem nahi
Meri aankhon ko wahi khwab purana la de,

Jiski aankhen mujhe andar se bhi parh sakti ho
koi chehra to mere sheher mein aesa la de,

Kashti e jan to bhanwar mein hai kai barson se
Ae khuda ab to dubo de ya kinara la de.

0 comments:

Post a Comment