Showing posts with label Daagh Dehlvi. Show all posts
Showing posts with label Daagh Dehlvi. Show all posts

Friday, 2 August 2013

Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-E-Yaar Hota

Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-E-Yaar Hota
Kabhi Jaan Sadqe Hoti Kabhi Dil Nisaar Hota
Na Mazaa Hai Dushmani Main Na Hai Lutf Dosti Main
Koi Gair Gair Hota Koi Yaar Yaar Hota
Ye Mazaa Tha Dillagi Ka Ke Barabar Aag Lagti
Na Tumhen Qaraar Hota Na Hamein Qaraar Hota
Tere Waade Par Sitamgar Abhi Aur Sabr Karte
Agar Apni Zindagi Ka Hamein Aitbaar Hota
»»  read more

Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Ranj Bhee Aisay Uthaaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Jo Zamaanay Ke Sitam Hain Wo Zamaana Jaanay
TU Ne Dil Itnay Sataaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Muskuraatay Howay Wo Majmaa-e-Agyaar Ke Saath
Aaj Yun Bazm Mein Aaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Kaaba-o-Dair Mein Pathra Gayeen Dono Aankhain
Aisay Jalway Nazar Aaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Dosti Mein Teri Dar-Pardah Hamaaray Dushman
Is Qadar Apne Paraaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Daagh-e-Waarafta Ko Ham Aaj Tere Koochay Se
Is Tarah Khainch Ke Laaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
»»  read more

Rasm-e-Ulfat Sikha Gaya Koi

Rasm-e-Ulfat Sikha Gaya Koi
Dil Ki Duniya Pe Chhaa Gaya Koi
Ta Qayaamat Kisi Tarah Na Bujhay
Aag Aisi Laga Gaya Koi
Dil Ki Duniya Ujri Si Kyun Hai ?
Kia Yahan Se Chala Gaya Koi
Waqt-e-Rukhsat Galay Laga Kar “Daagh”
Hanste Hanste Rula Gaya Koi
»»  read more

Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi

Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi
Aap Se Tum Tum Se TU Honay Lagi
Chahye Paighambar Dono Taraf
Lutf Kia Jab Du-Ba-Du Honay Lagi
Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi
Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi
Bay Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar
Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi
Ab Tou Mil Kar Dekhye Kya Rang Ho
Phir Hamari Justajuu Honay Lagi
“Daagh” Itraaye Howay Phirtay Hain Aaj
Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi
»»  read more

Rahe ga ishq tera khaak mein mila ke mujhe

Rahe ga ishq tera khaak mein mila ke mujhe,
Ke ibtidaa mein huye ranj intihaa ke mujhe,
Diye hain hijar mein dukh dard kis balaa ke mujhe,
Shab-e-firaaq ne maara litaa litaa ke mujhe,
Baghair maut ke kis tarah koi marta hai,
Mera raqeeb bhi roya galey laga ke mujhe,
Har ik shakhss ko haasil judaa hai kefiyat,
Jafaa ke lutf tujhe hain, mazey wafaa ke,
Ghazab ki aah meri, Daagh naam hai mera,
Tamaam sheher jalaao ge kya jalaa ke mujhe..
»»  read more