Showing posts with label Saghir Siddiqui. Show all posts
Showing posts with label Saghir Siddiqui. Show all posts

Friday, 2 August 2013

Utha kar choom li hain chand murjhayi huyi kaliyan

Utha kar choom li hain chand murjhayi huyi kaliyan,
Na tum aye tou yoon jashn-e-baharan karliya mene.!
»»  read more

Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai

Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai
Wo Phool Saaray Gulistaan Ka Laal Hota Hai
Raah-e-Majaaz Mein Hain Manzilain Haqeeqat Ki
Magar Ye Ahl-e-Nazar Ka Khayaal Hota Hai
Talaash Karti Hai Saaye Tumhaare Aanchal Ke
Chaman Mein Baad-e-Sabaa Ka Ye Haal Hota Hai
Bahaar-e-Fitrat Sayyaad Ki Kahani Hai
Ke Iske Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai
Ye Waardaat Bhee Ab Dil Pe Roz Hoti Hai
Musarraton Mein Bhee Ham Ko Malaal Hota Hai
Ye Bikhray Bikhray Se Gesu, Thaki Thaki Aankhain
Ke Jaisay Koi Gulistaan Nidhaal Hota Hai
Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Saghir”,
Kisi Ghareeb Kay Dil Ka Sawaaal Hota Hai...!
»»  read more

Yaad aa ke reh gaye hain zamane wafaon ke

Yaad aa ke reh gaye hain zamane wafaon ke,
Sholay jala ke chal diye jhonkay wafaon ke,
Har ik qadam par talkhii doraa’n ki dhoop thi,
They hum bhi us gali mein talabgar chaaon ke,
Karte rahe jo chand sitaaron ki rehbri,
Kuch log muntazir hain unhi rehnumaaon ke,
Har zehen mein parre hain teri zulf ke bhanwar,
Har dil ki sarzamee’n mein nishaan tere paaon ke,
Be’chaargi zeest ka daaman na bhar saka,
Hum ne lutaa diye hain khazaney dua’on ke,
Tajdeed-e-zoq Saghir-o-meena ki baat kar,
Badley huye hain rang chaman ki fizaaon ke.!
»»  read more

Saghir tumhain to mast dheyaano’n ne le liya

Teri nazar ka rang bahanon ne le liya,
Afsurdgi ka roop taraano’n ne le liya,
Jin ko bhari bahaar mein ghunchay na keh sake,
Woh waaqeyaa bhi mere fasaanon ne liya,
Shayed milay ga qaryaa mehtaab mein sakoon,
Ehl-e-fard ko aese gumaano’n ne le liya,
Yazwaa’n se bacha raha tha jalalat ka ek lafz,
Us ko haram ke shokh beyaano’n ne le liya,
Teri adaa se ho na saka jis ka faisla,
Woh zindagi ka raaz fashaano’n ne le liya,
Afsaana hayaat ki takmeel ho gayi,
Apno’n ne le liya ke begaano’n ne liya,
Bholi nahin woh qos-e-qazaah ki si surtain,
Saghir tumhain to mast dheyaano’n ne le liya..
»»  read more

Bhooli hui sadd'a hun mujhey yaad kijiye

Bhooli hui sadd'a hun mujhey yaad kijiye,
Tum sey kahien mila hun mujhey yad kijiye..
»»  read more

Phool chahey they magar hath me aye pathar

Phool chahey they magar hath me aye pathar,
Hm ney aghosh e mohabbat me sulaye pathar.!
»»  read more

Loug letey hain yon hi shamma or parwaney ka naam

Loug letey hain yon hi shamma or parwaney ka naam,
Kuch nahi hai is jahan me ghum kay afsaney ka naam.!
»»  read more