Thursday, 29 May 2014

Love Poetry/Shayari in Urdu about Aankhen/Nigahen


Suno meri aankhein khareedo gy,
Mujhy aik khuwab ka tawaan bharna ha...!!!




Teri muskurati ye tabinda aankhein
Hain gahwara dosheza subh-e-no ka
Keh aakash ky do sitaron ka sangam
Bhatakty howy jaisy do neely shabnam
Mujhy udny dy in ki neeli fiza mein

Yahan tak ky tay kar ky ye saari dunya
Main ho jaoun gum in ki gahraiyon me
Ro pahli si sunahri parchaiyon me
Teri muskurati ye tabinda aankhein....!!!




Us ki aankhon me mujhy hijar ka gham dikhta hai,
Dil ye kahta ha ky main choom lon aankhein us ki...!!!




Woh aankhein kesi aankhein thein
Main ab tak mahav-e-hairat hon
Ajab sheesha gari thein woh
Ajab jadogari thein woh
Bari hairat sy takty they
Yeh meri zaat ky zarry
Keh uski aik nigah-e-khas ny
Aisi tajalli ki
Keh meri zaat jo koh-e-giraan thi
Raiza ho gai Zaid
Woh aankhein kesi aankhien thi...!!!




Dil-e-masoom par tery qatilana hamly
Apny naino sy kaho! ky zara tameez sy...!!!




Jurm samjho to phorr do aankhein,
Meri aankhon ny khuwab dekhy hain...!!!




Tum samandar ki baat karty ho,
Log aankhon mein doob jaty ho...!!!




Aankhein dekh kar aaj to tabeeb bhi tarap utha,
Kiun karty ho itni muhabbt kiya zindagi achi nahi lagti...!!!




Ham sy milty han to milty hain jhuka kar aankhien,
Najany wo phir kis keliye rakhty hain saja kar aankhein...!!!




Koi to sawaan aisa ho jo tery sang barsy,
Tanha to meri aankhein har roz barasti hain...!!!




Najany kiun meri aakhon mein aa gaye aansoo,
Kisi ny haath jo barhaya dosti ke liye...!!!




Piyas aisi ha pi jaoun aankhein us ki
Naseeb aisa ky muyassar zahar bhi nahi,
Beloos wafaein koi ham sy seekhy
Jisy toot ky chaha usy khabar bhi na thi...!!!




Zindagi phir sy agar mujhy ataa karni hai,
Meri aankhon mein koi khuwab na rakhna ya rab...!!!




Lo main apni aankhein band kiye leti hun ab tum rukhsat ho,
Dil to jany kiya kahta ha leikn dil ka kiya kahna...!!!



0 comments:

Post a Comment