Showing posts with label Urdu Images. Show all posts
Showing posts with label Urdu Images. Show all posts

Friday 6 June 2014

Urdu Pictures of Shayari about Life/Zindage


Apni marzi sy do char qadam chalny dy,
ZINDAGI ham tery kahny py chaly hain barson...!!!




Baat sirf itni ha ZINDAGI ki rahon mein,
Saath chalny waly ko hamsafar nahi kahty...!!!



Ab meri koi ZINDAGI hi nahi,
Ab bhi tum meri ZINDAGI ho kiya...!!!




Buhat roya wo ham ko yaad kar ky,
Hamari ZINDAGI barbad kar ky...!!!




Chalo yeh ZINDAGI ab ham tumhary naam karty hain,
Suna ha bewafa ki bewafa sy khoob banti hai...!!!




Mot ky mukhalif to buaht hain is muhabbat bhary jahan mein magar,
ZINDAGI sy naraz bhi ik shakhs rahta ha yahan...!!!




Mot to naam sy badnam hoi ha warna,
Takleef to ZINDAGI bhi diya karti hai...!!!




Yeh uthi to subha dawaam hai, yeh jhuki to sham hi sham hai,
Teri chashm-e-mast mei saqiaa meri ZINDAGI ka nizam hai...!!!




Yeh warq warq teri dastaan,
Yeh sabaq sabaq tery tazkiry
Main karon to kesy karon alag,
Tujhy ZINDAGI ki kitab sy...!!!




ZINDAGI bhar udaas rahna hai
Sochta hun to muskurata hun...!!!




ZINDAGI guzar rahi ha imtihano ky dor sy,
Ek zakham bharta nahi dosra tayar milta hai...!!!




ZINDAGI ki thakan mein gum ho gaya,
Woh lafaz jisy sakoon kahty hain...!!!




ZINDAGI ko to bahar hal guzar hi jana tha,
Muft ahsaan zamany ky uthaye ham ny...!!!




ZINDAGI ky raaston mein
ZINDAGI ky raaston mein itni gard udhti hai
Faalein sy dekhein to kuch nazar nahi aata
Manzilon ky chahry bhi, Rah ki nishanian bhi
Sab hi doob jaty hain
Gard ky samander mein
Dard ky samander mein
Raasta nahi milta
Faasla nahi ghat'ta...!!!




ZINDAGI mein insan ko aik aadat zaroor seekh leni chahiey jo cheiz hath sy nikal jaye usey bhool jany ki aadat ye aadat buhat si takleefon sy bacha leti hai...!!!




ZINDAGI shayad phir sy raasty mein mila dy,
Magar aik baat yaad rakhna tum mujhy kho chuky ho...!!!




ZINDAGI sy bari saza ha nahi Zaid,
Aur jurm kiya ha pata hi nahi...!!!


»»  read more

Thursday 5 June 2014

Wafa aur Bewafai Shayari SMS in Urdu Pictures


Najany kiun itna yaqeen ha teri WAFA par ay Dast,
Warna husan waly to khud sy bhi WAFA nahi karty...!!!




Sada jo dy tujh ko kabhi WAFA keliye,
Khafa na karna us ko kabhi khuda keliye...!!!




Suna ha muhabbat karny waly,
Ab WAFA ki shart sy aazad hai...!!!




Tarz-e-WAFA ko is ki kiya naam don main ab,
Khud door ho gaya ha mujh ko qareeb kar ky...!!!




Teri WAFA ky taqazy hi badal gaye,
Warna mujhy aaj bhi tum sy ziyada aziz koi nahi...!!!




Toot kar bhi dharakta rahta hai,
Dil sa koi WAFADAR nahi dekha...!!!




WAFA aur khata mein farq itna ha Zahid,
Khata kar kisi sy hoti ha aur WAFA kisi sy nahi...!!!




WAFAEIN dar haqiqat mein bari anmol hoti hain,
Kabhi apni WAFAOUN ka sila maanga nahi karty...!!!




Wahi apni tarz-e-WAFA rahi wahi unki mashk-e-jafa rahi,
Woh zulm karty hain is tarha jaisy hamara koi khuda nahi...!!!




Woh behijab aa gaye bazam-e-WAFA mein robaro Zaid,
Har gaah hain woh robaro phir bhi unhi ki justajoo...!!!




Yon to hain WAFA ki beshumar nishanian,
Magar sab sy niraly hain tery khat...!!!


»»  read more

Wafa Urdu SMS Shayari with Images


HISAAB.
Kuch to hisaab karo ham sy,
Itni WAFAEIN udhar kon deta hai...!!!




Buhat sa maan ha tum par
Suno! tum paas-e-WAFA rakhna,
Sabhi sy tum milo lekin
Zara sa fasla rakhna,
Bichar jana bhi padta hai
Zara sa hosla rakhna,
Who kurb ky lamhy
Tum aankhon mein saja rakhna,
Abhi imkan baqi hai
Lab py tum duaa rakhna,
Buhat nayab hain dekho
Hamein sab sy juda rakhna...!!!




Ham aksar nikal jaty hain bayabanon me Abbas
Suna hai WAFA waly tanhai me rahty hain...!!!




Kabhi in adaoun ka zulm kabhi un nigahon ka zulm
WAFAOUN ki kasam tery aashiq na hoty to tery qatil hoty ham...!!!




Kabhi na jhuky kisi ki WAFA ky aagy,
Tery husan ki KHUDA kary woh maqam hasil ho...!!!




Khod ko bhi baich daala ham ny phir bhi na mili,
Bazar-e-mohabbat me WAFA sab sy mahangi nikli...!!!




Ajeeb khail hai matti sy bany logon ka,
Dost
Bewafai karo to roty hain agar WAFA karo to rulaty hain...!!!




Main sun ky uski sab baatein faqat itna hi kahta hon,
Kahan aap kahan WAFA bas kejiye rahny dejiye...!!!




Meri kitabon sy bhi hogi muyassar WAFA zamany ko,
Haan magar ham na milen gy phir dhondny walon ko...!!!




Meri talash ka jurm ha ya meri WAFA ka kasoor,
Jo dil ky qareeb aaya wahi BEWAFA nikla...!!!



»»  read more

Tuesday 3 June 2014

Sad Love Poetry in Urdu Images for Facebook


Bhool gaye ho to bata do mujh ko,
Mujh mein marny ki himmat aa gai ha...!!!





Baqaidgi sy itny achy nahi sitam,
Kuch roz naamchy mein tarmeem kijiye...!!!




Aag lag jaye in majborion ko,
Jin ki waja sy ham dor ho gaye...!!!




Aqal waly bhi jahan thokrein kha kha ky giry,
Ham ny us raah mein dar asal sambhalna seekha...!!!




Dopahr ko sula deti ha woh bachon ko is dar sy,
Keh gali mein kahein khilony bechny wala na aa jaye...!!!




Har raat ro ro ky usey bhulany lagy
Aansoun mein usky piyar ko bahany lagy
Yeh dil bhi kitna ajeeb ha Waqas,
Roye ham to woh aur bhi yaad aany lagy...!!!




Is pal ko mot hi kahty hain dosto,
Ik pal mein toot jaye jahan umer bhar ka saath...!!!




Jab tum ny kaha bhool jana mujhy,
Tab pahli baar apny zaheen hony par afsos howa....!!!




Laash parwany ky saamny sy hata dy koi,
Shamma masoom ha badnam ho jati hai...!!!




Magar kisi ny hamein hamsafar nahi jana.,
Yeh aur baat ha ky ham sath sath sab ky gaye...!!!


»»  read more

Monday 2 June 2014

Mohabbat Shayari SMS Shayari in Urdu Picture


Tum kiya jano MOHABBAT ky meem ka matlab,
Agar mil jaye to mojza aur na mily to mot...!!!




Kitni mahdood si ha dunya meri,
Ek main ik MOHABBAT meri...!!!




MOHABBAT meem sy shuro aur ty par khatam hoti hai,
Lekin meri ty aur meem tum par khatam hoti ha...!!!




MOHABBAT barhany ka tareeka aur koi nahi,
Faasla kam na hoga faisla yahi ha bas..!!!




MOHABBAT ko sanbhal rakha tha jinho ny apny aashyano ki tarha,
Woh log hain ab dafan kitabon mein dastano ki tarha...!!!




Itny nakhry dekhy nahi jaaty,
Bhaard me jaye MOHABBAT tumhari...!!!



Na samjho garoor usky is andaaz-e-MOHABBAT mein Abbas,
Woh roth ta ha ky usey mera baar baar manana acha lagta ha..!!!




Tujh sy haal bhi to pochein ham kis tareeky sy pochein Abbas,
Suna ha MOHABBAT karny waly bola kam roya buhat karty hain...!!!




Tum ko chaha to MOHABBAT ki samajh aai,
Warna is lafz ki tareef suna karty they...!!!




Kiun bar bar khud ko aayiny mein dekh kar,
Kiun meri ikloti MOHABBAT ko nazar lagaty ho...!!!



»»  read more