Thursday, 12 June 2014

Hadees and Qurani Ayaat about Jannah in Urdu Tarjuma Pictures


Ehal-e-jannat ki Bewiyan:
Aur Rasool Allah s.a.w ny jannti orton ky husn-o-jamal ka tazkira karty howey farmaya: "Har jannti ko do moti aankhon wali horein bator-e-bewiyan ata ki jaein gi har bewi kapron ky sattar jory zaib tan kiye howey hogi uski pindli ky andar ka goda usky kapro aur ghost ky wary is tarha saaf nazar aa raha hogs jis tarha saaf shafaf sheshy ky gilas mein sharab nazar aa rahi hoti hai...!!!"




Jannat ky Libas ka Bayan:
Rasool ALLAH s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs jannat mein dakhil ho gaya wo hamesha khush hal zindagi mein hoga kabhi mohtaj nahi hoga na uska libas boseeda hoga aur na uski jawani dhaly gi...!!!"
Rasool ALLAH ny farmya: "Sab sy pahla ghar wo jo jannat mein hoga unky chahry chodhwein raat ky chand ki tarha chamak rahy honeing naiz farmay har jannti keliye do horein moti aankhon wali uski bewiyan hongi har bewi sattar joro sy aarasta hogi uski pindli ka goda usky jodo aur ghost ky wary nazar aaye ga aur jannt mein koi shakhs bhi bewi ky bagair nahi hoga...!!!"




Jannt ki Afzal Tareen Naimat:
Jab Jannti Jannat mein dakhil ho chukein gy to ALLAH unhain (mukhatib kar ky) farmein gy: "Mazeed kisi chiez ki zaroorat ho to batao."
To Jannti jawab dein gy: "Kiya tuny surkhro nahi kar diya kiya tuny hamein jahanum sy nijat dy kr jannt ata nahi kar di (ab bhala kis cheiz ki zaroorat baqi rah gai ha) phir parda uthy ga aur jannati ALLAH Taala tabaruk ko apny saamny dekhein gy aur us sy ziyada mahboob koi aur naimat un ky nazdeek nahi hogi...!!!"
Us par Aap s.a.w ny quran ki yeh aayat tilawat farmai: "Jin logon ny bhalai ki raah ikhtiyar ki unky liye acha badla ha aur mazeed baraan bhi...!!!"




Jannti Log Mazy Me Mashgool Honge:
ALLAH Tala ne Farmaya: "Aaj jannti log mazy karny mein mashgool hain us din jannti aur unki bewiyan ghany saayon mein hongein masnado par takye lagaye howey, har kism ki lazeez cheizen khany peeny ko unky liye wahan mojod hongi...!!!"




Hamesha Rahny Wali Jannatein:
"Woh log ho iman laaye aur aamal-e-saliha kiye unka ajar kabhi zaya nahi karty unky liye hamesha rahny wali janntein hain jin ky neechy nahrein bah rahi hain woh sony ky kangan pahny howey barik resham aur atlas-o-deeba ky kapro sy aarasta masnadon par takye lagaye howey bethy hongein kitna acha ha unka badla aur kiya hi achi unhon ny jaga paai hai...!!!"




Jannat ky Waris:
"Unky liye hameshgi ki jannat ha jinka apny bando sy KHUDA-e-Rahman ny dar parda waada kar rakha ha aur yeh wada yaqeena pora ho kar rahy ga woh koi nashaista aur behoda baat unky kano mein nahi parry gi jo kuch sunein gy woh salamti hi ki sada hogi aur subha sham tarha tarha ky khany un keliye muhayya kiye jaein gy yeh ha woh jannat jiska waris ham apny har us bandy ko banaein gy jis ny taqwa ki raah ikhtiar ki hogi...!!!"



0 comments:

Post a Comment