Luta kar har cheiz, manzil-e-ISHQ ki raah me,
Ham hans parry hain aaj khud ko barbad dekh kar...!!!
Woh jazbat ki hurmat sy hi nawaakif hain,
ISHQ sofiyana mera ISHQ sofiyana.
Rooh tak teri beqarari tera ahsaas ha jigar me,
Har dua mein teri sada ha main karta hun tery sajdy...!!!
Jin ki tameer ISHQ karata hai
Kon rahta ha un makanon me,
Inhi tinkon mein dekh ay bulbul
Bijlian bhi hain aashyano mein...!!!
Junoon-e-ISHQ ki rasmein ajeeb kiya kahna,
Main us sy door woh mery qareeb kiya kahna...!!!
Tu nakam muhabbat ha to kar aik aur muhabbat Zaid,
Woh marz-e-ISHQ hi kiya abbas jis mein jaldi shifa mily,
Kon maangy ga khushyon ki dua jis ko dard mein khuda na mily...!!!
Kuch to ay ISHQ maharbani kar,
Tujhy barson sy paal rakha hai...!!!
Nahi hota kisi tabeeb sy is marz ka ilaaj,
ISHQ la ilaaj hai bas ahtiat kejiye...!!!
0 comments:
Post a Comment