Shajar, Zameen, Ghata, Aasman bolta hai,
Woh hont kholy to sara jahan bolta hai,
Suny ga kon sadaein dil-e-shikashta ki
Tamam shahar tumhari zuban bolta hai,
Hamary bech muhabbat mahak rahi hai agar
To phir yeh kon ha jo darmian bolta hai,
Dilon sy uth ta nahi khof ka dhuwan yonhi
Yaqeen bikharny to guman bolta hai,
Jalaye betha hon jab sy diye mandiro par
Har aik shakhs hawa ki zuban bolta hai,
Zarori ho gaya ha ab to bolna MOHSIN
Sakoot e shab ho to khali makan bolta hai...!!!
Pagal aankhon wali larki
Itny mahngy khuwab na dekho
Thak jao gi
Kanch sy nazuk khuwab tumhary
Toot gaye to pachtaougi
Tum kiya jano...!!!
Khuwab... safar ki dhoop ky teshy
Khuwab... adhori raat ka dozakh
Khuwab... khayalon ka pachtawa
Khuwabon ka hasil tanhai
Mahangy khuwab kharidny hon to
Aankhein bechna parrti hain
Rishty bholny parrty hain
Andesho ki rait na phanko
Khuwab ki oat sarab na dekho
Piyas na dekho
Itny mahangy khuwab na dekho
Thak jao gi...!!!
Khud bakhud chor gaye hain chalo theek howa
Itny ahbaab kahan ham sy sambhaly jaty,
Ham bhi Ghalib ki tarha kocha-e-janaan sy MOHSIN
Na nikalty to kisi roz nikaly jaty...!!!
Khuwabon ka gila jaiz ha MOHSIN lekin,
Main nendein dhond ky laoun kahan sy...!!!
Para ha waasta MOHSIN muhabbat ky yazeedon sy,
Yahan ham apni aankhon mein bhi pani rakh nahi sakty...!!!
Rakha tha isko gilaf-e-rooh mein sanbhal kar Mohsin,
Woh zakham bhi to kisi aashna ka tha...!!!
0 comments:
Post a Comment