Showing posts with label Urdu Shayari Images. Show all posts
Showing posts with label Urdu Shayari Images. Show all posts

Sunday 9 November 2014

Aarzoo Hasrat Khahish Tamanna Shayari, SMS With Imges


Ab dil ki khalwaton mein tum aa kar karogy kiya
Hum aarzo ki shamain kab ki bujha chuky hain...!!!





Aik khahish hai jhalak mil jaye us chahry ki
Ky is deedar ky baad koi tamana na rahy...!!!





Aik khahish hai poori ho jaye har khahish is dil ki
Ky phir khuda sy koi iltaja na rahy...!!!




Bari ajeeb hai naadan dil ki khahish ya rab
Amal kuch nahi aur dil talabgar hai jannat ka...!!!





Ham bhatakty rahy hain rahon mein
Raat din kat rahy they aanhon mein
Ab tamana howi hai mery jeeny ki
Baat kuch to hai teri nigaahon mein...!!!





Meri khahish hai ky meri shayari ko tum samjho
Ye aarzo nahi ky log waah waah karein...!!!






Mujhy ye dar hai teri aarzoo na mit jaye
Buhat din sy tabiyat udaas nahi...!!!




Na ji bhar ky dekha na kuch baat ki
Bari aarzo thi mulaqat ki...!!!




Suno ky ab ham gulaab deingy gulaab leingy
Muhabbaton mein ab koi khasara nahi chaly ga...!!!

»»  read more

Friday 6 June 2014

Yaad Shayari SMS in Urdu Picture


Buhat dair sy koi hichki nahi aai,
Bholny waly ki KHUDA khair kary...!!!




Buhat takleef deti hain teri YAADEIN wo sab baatein,
Faqat itna hi kahna tha ky tum lot aao to acha hai...!!!




Kis tarha khatam kar sakty hain tum ko YAAD karna,
Keh tum ko sirf mahsoos karny sy ham dunya bhool jaty hain...!!!




Raat youn dil mein teri khoi hoi YAAD aai,
Jaisy weerany mein chupky sy bahar aa jaye,
Jaisy sahraoun mein holy sy chaly baad-e-naseem
Jaisy beemar ko be waja qarar aajaye...!!!




Aa Rahi Hai Teri Yaad.
Raat ka pichla pahar hai
Maatmi malboos oadhy
Dard ki in waadiyon sy
Wahshaton ky rasty sy
Ladkhati
Dagmagati
Baal kholy
Bain karti
Chandni ko sath lekar
Meri janib chal parri hai
Aa rahi teri YAAD...!!!




Naam na lena! faqat itna kahna un sy ay hawa,
Tumhain woh YAAD karty hain jinhain tum bhool bethy ho...!!!




Surkh Ienton py nachti baarish,
Aur YAADEIN hain robaro dekho...!!!




Tapak padty hain aanso jab tumhari YAAD aati hai,
Yeh woh barsat ha ky jis ka koi mousam nahi hota...!!!




Yeh uski YAAD ha kiun sakht dhoop ki maanind,
Woh bewafa to barasti ghataoun jaisa tha...!!!




Aaj toot kar uski YAAD aai to ahsaas howa Mohsin,
Utar jaty hain jo dil mein woh bhulaye nahi jaty...!!!




Abhi masroof hon kafi
Kabhi fursat mein sochon ga,
Ky tujh ko YAAD karny mein me
Kiya kiya bhool jata hon...!!!




Yaad Ki Baarish.
Is mousam ki baarish
Kuch bhi nahi
Lekin
Tery YAAD ki barish
Har pal
Mujhy bighoti rahti hai
Meri aankhon sy musalsal
Barish hoti rahti hai...!!!




Soch tera muqam kiya hoga...!!!



»»  read more

Monday 2 June 2014

Mohabbat Urdu Images Poetry/Shayari for Facebook Timeline Posts


Har koi poochta ha kiya karty ho tum,
Goya MOHABBAT koi kaam hi nahi...!!!




Talash kar mujhy apny Dil me Zaid,
Dard ho smajh lena MOHABBAT tum bhi karty ho...!!!




Aaja tujhy samjha don MOHABBAT ka yeh usool bhi Abbas,
Chor jaye ga tujhy wahi jis ky liye tu chory ga sab ko yahan...!!!




Aadatein mukhtalif hain hamari dunya walon sy,
Kam MOHABBAT karty hain par lajawab karty hain...!!!




Aik had tak MOHABBAT pur lutf hai,
Uss had ky baad be had azziyat ha...!!!




Ajeeb zulm howy dunya mein MOHABBAT par
Jinhain ham mily unhain qadar nahi
Jinhain qadar thi unhain ham mily nahi...!!!




Bain karti howi aankhein ye pareshan zulfein,
Aur kiya chahaty ho is sy MOHABBAT kar ky...!!!




Buhat magroor hoty ja rahy ho,
MOHABBAT mein kami karna parry gi...!!!




Haar jao gy zaroor tum MOHABBAT ki shart me,
Agar WAFA chunty ho kisi insan keliye...!!!





Itni MOHABBAT don ky ho jaye aakhir tu mera,
Phir zamany ko tery liye tarapta dekhon...!!!


»»  read more

Mohsin Naqvi Best Ghazals Shayari in Urdu Pictures about Love


Shajar, Zameen, Ghata, Aasman bolta hai,
Woh hont kholy to sara jahan bolta hai,
Suny ga kon sadaein dil-e-shikashta ki
Tamam shahar tumhari zuban bolta hai,
Hamary bech muhabbat mahak rahi hai agar
To phir yeh kon ha jo darmian bolta hai,
Dilon sy uth ta nahi khof ka dhuwan yonhi
Yaqeen bikharny to guman bolta hai,
Jalaye betha hon jab sy diye mandiro par
Har aik shakhs hawa ki zuban bolta hai,
Zarori ho gaya ha ab to bolna MOHSIN
Sakoot e shab ho to khali makan bolta hai...!!!




Pagal aankhon wali larki
Itny mahngy khuwab na dekho
Thak jao gi
Kanch sy nazuk khuwab tumhary
Toot gaye to pachtaougi
Tum kiya jano...!!!
Khuwab... safar ki dhoop ky teshy
Khuwab... adhori raat ka dozakh
Khuwab... khayalon ka pachtawa
Khuwabon ka hasil tanhai
Mahangy khuwab kharidny hon to
Aankhein bechna parrti hain
Rishty bholny parrty hain
Andesho ki rait na phanko
Khuwab ki oat sarab na dekho
Piyas na dekho
Itny mahangy khuwab na dekho
Thak jao gi...!!!




Khud bakhud chor gaye hain chalo theek howa
Itny ahbaab kahan ham sy sambhaly jaty,
Ham bhi Ghalib ki tarha kocha-e-janaan sy MOHSIN
Na nikalty to kisi roz nikaly jaty...!!!




Khuwabon ka gila jaiz ha MOHSIN lekin,
Main nendein dhond ky laoun kahan sy...!!!




Para ha waasta MOHSIN muhabbat ky yazeedon sy,
Yahan ham apni aankhon mein bhi pani rakh nahi sakty...!!!




Rakha tha isko gilaf-e-rooh mein sanbhal kar Mohsin,
Woh zakham bhi to kisi aashna ka tha...!!!


»»  read more

Sunday 1 June 2014

Pyar, Ishq, Mohabbat Poetry/Shayari Wallpapers in Urdu for Facebook posts


Ay ISHQ zara aik baat to bata,
Kiya sab ko aazmaty ho ya mery sath dushmani ha...!!!




Bas itna yaad ha ky mujhy ISHQ howa tha,
Phir kiya howa uski mujhy khabar nahi...!!!




Buhat they mery bhi, is dunya mein apne,
Phir ISHQ howa, aur, ham lawaris ho gaye...!!!




Har baar ilzaam ISHQ par hi acha nahi,
Wafa khud sy hoti nahi khafa muhabbat sy ho jaty hain log...!!!




Har tarha sy faida deta hai karobar-e-ISHQ,
Zaid dekhta kon is mein nafa aur khasara phir...!!!




Haram kiun nahi ye mashgala Zaid,
Yeh ISHQ bhi to madhosh rakhta ha...!!!




Ik sar zameen-e-ISHQ hai.
Ik sar zameen-e-ISHQ hai
Hangama aalam sy door afat ga hasti sy door
Is magar ki dunya sy door is zulm ki basti sy door
Is raat is din sy alag is oaj is
Sasti sy door
Door az zameen-o-aasman
Ik sar zameen-e-ISHQ hai
Is ky gulishtan par fiza is ki baharein dil
Nasheen
Is ki zameen khushnuma iski fizaein marmari
Isky nazary dil kasha iski hawaein
Anbaren
Misl bahisht gul fishan
Ik sar zameen-e-ISHQ hai....!!!




ISHQ ka azal sy yahi dastoor hai,
Jo isko jaan leta yeh uski jaan leta hai...!!!




ISHQ marta nahi kabhi Ziad,
ISHQ ka silsila to rahta hai...!!!




ISHQ sofi? na molana? na aalim hai,
Zaid, ISHQ zalim hai, zalim hai, zalim hai...!!!



»»  read more

Ahmad Faraz Poetry Collection in Urdu Font Images for Facebook Posts


Us shakhs sy faqat itna sa ta aluq ha FARAZ,
Woh pareshan ho to hamein neend nahi aati...!!!




Khuwab marty nahi
Khuwab dil han, na aankhein, na shamein ky jo
Reza reza howey to bikhar jaein gy
Jisam ki moot se yeh bhi marr jainge
Khuwab to roshni hain, nawa hain, hawa hain
Jo kaaly paharron sy rukty nahi
Zulm ky dozakhon sy bhi phukty nahi
Roshni aur noor aur hawa ky alam
Maqtalon mein pohanch kar bhi jhukty nahi
Bhuwab to harf hain
Khuwab to noor hain
Khuwab to suqraat hain
Khuwab to mansoor hain...!!!




Main fana ho gaya wo badla phir bhi nahi FARAZ,
Meri chaahat sy bhi sachi thi nafrat uski...!!!




Usey tarasha ky hera bana diya ham ny FARAZ,
Magar ab ye sochty hain usey khridein kesy...!!!




Yonhi mousam ki ada dekh kar yaad aaya hai,
Kis qadar jald badal jaty hain insaan janaan...!!!




Hazar bar marna chaha nigahon mein doob kar ham ny FARAZ,
Woh nigahein jhuka leti ha hamein marny nahi deti...!!!




Zabt lazim ha magar dukh ha qayamat ka FARAZ,
Zalim ab ky bhi na roya to mar jaye ga...!!!



»»  read more