Showing posts with label Sehar Gull Poetry. Show all posts
Showing posts with label Sehar Gull Poetry. Show all posts
Sunday, 11 December 2011
Wednesday, 7 December 2011
at 00:48 | 0 comments | Dosti Poetry, Sehar Gull Poetry
Chalo main bataaon!
Kaisay dost ho Tum..
Mery liye!
Meri Dunya ho Tum..
Chhu kay jo Guzri..
Wo Hava ho Tum..
Main nay ho Maangi..
Wo Dua ho Tum..
Karay mujhy Jo Roshan..
Wo Diya ho Tum..
Mery Intizaar ki Rahat ho Tum..
Mery Dill ki Chahat ho tum..
Tum Ho To Yeh Dunya hai meri...
Kaisay kahoon!
Keh..
Mery kaisay Dost ho Tum..
Kar Sako Yaqeen To...
Bataoo'n Tumhein..??
Boht Khaas...
Boht Khaas..
Boht Khaas ho Tum...
Sunday, 27 November 2011
at 10:00 | 0 comments | sad poetry, Sehar Gull Poetry, Tanhai, Yaad poetry
Ek shakhs tha k jis say Mohabbatein thi'n juri hui'n
Ek shakhs tha k jis say Anayatein thi'n juri hui'n
Wo kya gaya k Rooth gaye hum say Ahbaab sab,
Us k hi wajood say chahatein thi'n jurri hui'n
Bikhar gaye hum is tarah k zindagi ki na chah rahi,
K uske hi hatho'n say qismatein thi'n jurri hui'n
Yun us chalay janay say ho gaye gum sum hum,
Ek usi k naam say shohratein thi'n jurri hui'n.
Dedicated to My loving Father... ($eh@r)
Dedicated to My loving Father... ($eh@r)
Wednesday, 16 November 2011
Monday, 14 November 2011
yeh waqt kitna ajeeb hai
یہ وقت کتنا عجیب ہے ، ہیں شناختیں چھپی ہوئیں
مسکراہٹوں کی اوڑھ میں ہیں سازشیں چھپی ہوئیں
نہ بتا سکے ہم راز دل اپنے دوست و احباب کو
کہ محبّتوں کے بھیس میں ہیں کدورتیں چھپی ہوئیں
تیرے لمحہ بھر کے ساتھ نے یہ سمجھا دیا ہے مجھے
yeh waqt kitna ajeeb hai, hain shanakhtein chhupi hui,
Muskurahato'n ki orrh mai, hain shazishein chupi hui,
...
Na bata saky hum Raaz-e-Dill, apne dost-o-Ahbaab ko,
Keh Muhabbato'n k bhais main, hain Qudurtein chhupi hui.
Tere lamha bhar sath ne, ye samjha diya hai mujhy,
keh is karri zeest mai bhi, hain lazzatein chhupi hui.
Friday, 4 November 2011
Nafrat bhi unhi se hai, Adawat bhi unhi se hai
Nafrat bhi unhi se hai, Adawat bhi unhi se hai..
Ajab hai dill ki ye uljhan, Chahat bhi unhi se hai..
Wohi hai addu-e-jaan, Mere dill ki khushiyon ka..
Bikhri meri is zeest main, Rahat bhi inni se hai..
Wo us ke waady, wo Sapny, meri chahat ka sarmaya
Meri weeran hasti me, Halawat bhi unhi se hai.
<Seher>
Subscribe to:
Posts (Atom)