Showing posts with label pictures poetry. Show all posts
Showing posts with label pictures poetry. Show all posts

Friday 23 May 2014

Barish Urdu Shayari and Ghazal Images for Facebook Posts


Lot aai hain dekho baarshein phir sy yahan wahan,
Ik tum ko hi lot ky aany ki fursat nahi mili...!!!




Pahly barish hoti thi to yaad aaty they,
Ab jab yaad aaty ho to barish hoti ha...!!!




Aaj sawan meri aankhon mein utar aaya ha,
Aaj lagta bary zor ki BAARISH hogi...!!!




"Aao BAARISH sy to pochein"
Kiya us sy bhi wada kar ky chorr gaya ha koi usko
Kiya usko bhi neend nahi  aati barson sy
Kiya usko bhi pholon sy shikwa ha koi
Usky sath bhi khel hawoun ny khela ha
Dhuwan dhuwan sa uska chahra kiun ha aakhir?
Bheegi bheegi uski palkein kis ny kar dien?
Aao BAARISH sy ye pochein...???




Aey kash baras jaye yahan noor ki BAARISH,
Imaan ky sheeshon py bari gard jami hai...!!!



BAARISH hoi to rony laga phoot phoot kar,
Warna to aik shajar thek thak tha...!!!




Bheegi aankhein aaj phir mujh ko uski yaad dila BAARISH ny
Dil mein jo bhool ki aag thi bujha di BAARISH ny,
Main tanha thi apny ghar mein zamany sy
Magar mery ghar ki deewar gira BAARISH ny,
Usky zikar sy ho gai meri aankhein nam
Magar ye saari baat chupa di BAARISH ny,
Suna wo roye hain aaj buhat
lagta ha un ko bhi meri yaad dila di BAARISH ny,
Woh bewafa howey to phir kiya howa?
Aaj mer sath ro kar wafa nibha di BAARISH ny...!!!




Dil ky phool bhi khilty hain bikhar jaty hain
Zakham kesy bhi hon kuch roz mein bhar jaty hain,
Is dareechy mein bhi ab koi nahi aur ham bhi
Sar jhukaye howey chup chap guzar jaty hain,
Rasta roky khari ha yahi uljhan kab sy
Koi pochein to kahein kiya ky kidhar jaty hain,
Narm aawaz, bhali baatein, muhazzab lahjy,
Pahli BAARISH mein hi ye rang utar jaty hain...!!!




Main kiun usko phone karon
Usky bhi to ilm mein hoga
Kal shab
Mousam ki pahli barish thi...!!!



»»  read more

Wednesday 21 May 2014

Love Sad SMS Shayari in Urdu with Pictures


Yeh mareez-e-ishq ka haal hai ky ye zindagi bhi wabal hai,
Kabhi dard ha to dawa nahi jo dawa mili to shifa nahi...!!!




Yeh meri aqeedate-e-besabar ye meri ibadat-e-besamar,
Mujhy mery dawa-e-ishq ny na sanam diya na KHUDA diya...!!!




Yoon har nuqsan par hawi zabt raha ,
bikhar gai jab zaat to palkein bheeg gaein...!!!




Zara si ranjish par log chor dety hain daman ,
Umer beet jati ha dil ky rishty banany me...!!!




Zarorat torr deti ha garoor-e-be niazi ko,
Na hoti koi majbori to har banda khuda hota...!!!




Zindagi dard ky hathon me chali jaye gi,
Gar tera saath na paya to bikhar jaye gi...!!!




Meri barsti hoi aankhein meri rukti hoi saansein,
Mujhy aksar yeh kahti hain muhabbat ab nahi karna...!!!




Meri wafa faraib thi meri wafa py khak dal,
Tujh sa koi baa wafa tujh ko mily khuda kary...!!!




Mery hamsafar ka ye hukam tha ky main bat us sy kam karon,
Mery hont aisy sily ky phir usey meri chup ny rula diya...!!!




Yeh bewafaon ki dunya ha dil sanbhal kar chalna,
Yahan log barbad karny keliye bhi muhabbat ka sahara lety hain...!!!



»»  read more

Thursday 24 April 2014

Mana k main ne



»»  read more

Wednesday 19 February 2014

Kyun Tum yaad aate ho itna


»»  read more

Hamain Aadat nahi apna bana kr bhol jane ki


»»  read more

Samajta hi nahi hai dil ki batoon ko wo


»»  read more

Aankh majnu ho to...


»»  read more

Monday 17 February 2014

kitni masom khowaish hai


»»  read more

Thursday 6 February 2014

Such Kaha Tha Usny


»»  read more

Saturday 25 January 2014

Yaqeen Us ko nahi Aata


»»  read more