Showing posts with label Allama Muhammad Iqbal. Show all posts
Showing posts with label Allama Muhammad Iqbal. Show all posts

Thursday 6 November 2014

9th Nov Allama Iqbal Day Wishes and Quotes with Images

Mohsin-e-Pakistan Dr. Muhammad Allama Iqbal was born on 9th November 1877 in Sialkot. I will share just few shairo of him and dedicate this thread to all of you on this Iqbal day.




Apni millat par qiyaas aqwam-e-magrib sy na kar
Khas teri tarqeeb mein qom-e-rasool hashmi
Unki jamiyat ka hai mulk-o-nasab par ikhtasar
Quwat-e-mazhab sy mustaham hai jamiyat teri...!!!



Azaim ko seeno mein baidar kar dy
Nigaah-e-musalman ko talwar kar dy...!!!




Farhang sy buhat aagy hai manzil-e-momin
Qadam utha ye maqam intaha-e-raah nahi...!!!




Jawano ko meri aah-e-sahar dy
Phir un shaheen bachon ko baal-o-par dy
Khudaya aarzoo meri yahi hai
Mera noor-e-baseerat aam kar dy...!!!





Shaheen kabhi parwaz sy thak kar nahi girta
Pur dam hai agar tu, to nahi khatra-e-aftada...!!!




Tha wo maanind khursheed rasty dikha gaya
Khudi ky falsafy sy pardy utha gaya...!!!




Tu bhi isi qaflay-e-shoq mein Iqbal
Jis qaflay-e-shoq ka salar hai roomi...!!!





Uqabi rooh jab baidar hoti hai jawano mein
Nazar aati hai un ko apni manzil aasmano mein...!!!

»»  read more

Allama Iqbal Day 9th November Wishes Shayari


Allah sy kary door to taleem bhi fitna
Imlak bhi olaad bhi jaagir bhi fitna
Na haq keliye uthy to shamsheer bhi fitna
Shamsheer kiya naraaye takbir bhi fitna...!!!




Har ibtada sy pahly har intaha ky baad
Zaat e nabi buland hai zaat e khuda ky baad,
Dunya mein ahtarm ky qabil hain jitny log
Main sab ko maanta hon Magar mustafa ky baad,
Qatl e husain asal mein marg e yazeed hai
Islam zinda hota hai har karbla ky baad...!!!



Hikmat mashriq o magrib ny sikhaya hai mujhy
Aik nukta ky gulamon keliye hai akseer,
Deen ho falsafa ho faqeer ho sultani ho
Hoty hain pukhta aqaid ki bina par tameer...!!!



Jawano ko meri aah e sahar dy
Phir un shaheen bachon ko baal o par dy,
Khudaya aarzoo meri yahi hai
Mera noor e baseerat aam kar dy...!!!



Khudi ko jis ny falak sy buland tar dekha
Wahi hai mamlite subha o shaam sy aagah...!!!



Parwana tujh sy karta hai ay shama piyar kiun
Ye jaan beqrar hai tujh par nisaar kiun,
Seemab waar rakhti hai teri adaa usey
Aadab ishq tuny sikhaye hain kiya usey,
Karta hai ye tawaf teri jalwagah ka
Phonka howa hai kiya teri barq nigah ka?
Aazar mot mein usey aaraj jaan hai kiya?
Sholy mein teri zindagi jawaidan hai kiya
Gham khana jaahn mein jo teri ziya na ho,
Is tafta dil ka nakhal tamanna hara na ho
Girna tery huzoor mein us ki nimaz hai
Nany sy dil mein lazzat soz o gudaz hai...!!!



Sitaron sy aagy jahan aur bhi hain
Abhi ishq ky imtihan aur bhi hain,
Tahi zindagi sy nahi ye fizaein
Yahan saikron karwan aur bhi hain,
Qanaat na kar aalam e rang o boo par
Chaman aur bhi aashiyan aur bhi hain,
Agar kho gaya aik nasheman to kiya gham
Maqam e aaho fagan aur bhi hain,
Tu shaheen hai parwaz hai kaam tera
Tery saamny aasman aur bhi hain,
Usi roz o shab mein ulajh kar na rah ja
Ky tery zaman o makan aur bhi hain,
Gaye din ky tanha tha main anjuman mein
Yahan ab mery raazdan aur bhi hain...!!!




Taa tah o baala nagard eein nizam
Danish o tahzeeb o deen sood ay kham...!!!



Tery ishq ki intiha chahata hon
Meri saadgi dekh main kiya chahata hon
Bhari bazm mein raaz ki baat kah di,
Bary by adab ho saza chahata hon...!!!



Yon to sayyad bhi ho, mirza bhi ho, afghan bhi ho
Tum sabhi kuch ho batao to musalman bhi ho?...!!!

»»  read more

Friday 30 May 2014

Allama Iqbal Motivational Poetry Pictures in Urdu on Life


Qowatt-e-ishq sy har past ko balaa kar d,
Dahar mein ism-e-Muhammad sy ujala kar day...!!!




Shaheen kabhi parwaz sy thak kar nahi girta,
Pur dam ha agar tu, to nahi khatra-e-aftada...!!!




 Na thi jab apny haal ki khabar dekhty rahy logo ky aib-o-hunar,
Phir jab parri apny hi gunaho par nazar to nigaah mein koi aur bura na raha...!!!




Raah-e-muhabbat mein ha kon kisi ka rafique,
Saath mery rah gai aik meri aarzoo...!!!




Sony do agar wo so rahy hain gulami ki neend me,
Hosakta ha woh khuwab aazadi ka dekh rahy hon...!!!




Subha ko baag mein shabnam parrti ha faqat is liye,
Keh patta patta kary tera zikar bawuzo ho kar...!!!




Uqabi rooh jab bedar hoti ha jawano mein,
Nazar aati ha un ki apni manzil aasmano mein...!!!




Yeh faizan-e-nazar tha ya ky maktab ki karamat thi,
Sikhaye kis ny ismail ko aadab-e-farzandi...!!!




Parwany ko charag ha bulbul ko phool bas,
Siddique ky liye ha khuda ka RASOOL S.A.W bas....!!!




Shikwa.
Baroz mahshar mein bekhof ghus jaoun ga jannat me
Wahan sy aay they aadam woh mery baap ka ghar hai...!!!
Jawab-e-Shikwa.
In aamal ky sath jannat ka talab gar ha kiya?
Wahan sy nikaly gaye aadam to teri okat ha kiya...!!!




Lab py aati ha dua ban ky tamanna meri
Zindagi shama ki soorat ho khudaya meri ho,
Mery dam sy younhi mery watan ki zeenat
Jistarha phool sy hoti ha chaman ki zeenat...!!!



»»  read more

Allama Iqbal Inspirational Poetry Collection about Life, Study and Islam in Urdu images


Afrad ky hathon mein ha aqwam ki takdeer
Har fard ha millat ky muqaddar ka sitara,
Dein hath sy dekar agar aazad ho millat
Hai aisi tijarat mein musalmano ka khasara...!!!




Ilm me bhi saroor ha lekin,
Yeh woh jannat ha jis mein hoor nhi...!!!




Kafir ha shamsher py karta ha bharosa,
Momin ha to beteegh bhi larrta ha sipahi...!!!




Khamosh ay dil bhari mahfil mein chillana nahi acha,
Adab pahla qareena ha muhabbat ky qareeno mein...!!!




Khudi ko jis ny falak sy buland tar dekha,
Wahi ha mumlikat-e-subha-o-shaam sy aagah...!!!




Khudi ko kar buland itna ky har taqdeer sy pahly,
KHUDA bandy sy khud pochy bata teri raza kiya hai...!!!




Kis qadar tum py giraan subha ki bedari hai,
Ham sy kab piyar ha haan neend tumhain piyari hai...!!!




Aazan to hoti ha ab magar nahi koi moazzin bilal sa,
Sar basajda to hain momin magar nahi koi zuhra ky laal jaisa...!!!




Agar lahoo ha badan mein to khof ha na hiraas
Agar lahoo ha badan mein to dil ha be waswaas,
Jisy mila yeh mataaye giraan baha usko
Na seem-o-zar sy muhabbat ha na gham-e-aflaas...!!!




Baat sajdon ki nahi khalos-e-dil ki hoti ha IQBAL,
Har mekhany mein sharabi aur har masjid mein namazi nahi hota...!!!




Buton sy tujh sy umeedein KHUDA sy nomedi,
Mujhy bata to sahi aur kafiri kiya hai...!!!



»»  read more

Friday 23 May 2014

Iqbal Shayari/Poetry in Urdu Language with Pictures Vol-03


Tery muqam ko anjum shanas kiya jany,
Ky khak-e-zinda ha tu taba-e-sitara nahi...!!!




Zameer-e-lala mein roshan charag-e-aarzo kar dy,
Chaman ky zarry zarry ko shaheed justajo kar dy...!!!




Husn-e-kirdar sy noor-e-mujasam hoja,
Keh iblees bhi tujhy dekhy to musalman ho jaye...!!!




Sajda-e-ishq ho to ibadat mein maza aata
Khali sajdon mein to dunya hi basa karti hai,
Log kahty hain ky bas farz ada karna hai
Aisa lagta ha koi qarz liya ho RAB sy,
Tery sajdy kahein tujhy kafir na kardein ay IQBAL
Tu jhukta kahein aur ha aur sochta kahein aur ha...!!!




Insan ki rooh ki asal kifiat gham hai,
Warna khushi aik aarzi shay hai...!!!




Rah gai rasm-e-azan rooh-e-bilali na rahi,
Falsfa rah gaya talqeen-e-ghazali na rahi...!!!




Ishq ny tery sab bal nikal diye,
Muddat sy aarzo thi seedha kary koi...!!!




Ishq katil sy bhi maqtool sy hamdardi bhi
Yeh bata kis sy muhabbat ki jaza mangy ga?
Sajda khaliq ko bhi iblees sy yarana bhi
Hashar mein kis sy aqeedat ka sila mangy ga...!!!



»»  read more

Tuesday 13 May 2014

Allama Iqbal Shayari in Urdu Font Images Vol-02

Allama iqbal urdu shayari dunya ki mehfilon say ukta gaya hun ya rab kiya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho

Dunya ki mehfilon sy ukta gaya hon ya rab
Kiya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho,
Shorish sy bhagta hon dil dhondta ha mera 
Aisa sakoot jis par taqdeer bhi fida ho...!!!




Allama iqbal urdu shayari dil pak nahi to pak ho sakta nahi insan warna iblees ko bhi aaty they wuzo kay faraiz buhat

Dil pak nahi to pak ho sakta nahi insan,
Warna iblees ko bhi aaty they wuzo kay faraiz buhat...!!!



 Allama iqbal urdu shayari mera is shahar e adawat mein basera ha IQBAL jahan log sajdon mein bhi logon ka bura sochty hain

Mera is shahar-e-adawat mein basera ha IQBAL
Jahan log sajdon mein bhi logon ka bura sochty hain...!!!


»»  read more