Showing posts with label Islamic Shayari. Show all posts
Showing posts with label Islamic Shayari. Show all posts

Sunday, 16 November 2014

Islamic Urdu Shayari, SMS, Quotes With Islamic Wallpapers


Ya rab teri shan jale ejalal hai
Meri maang rizq e halal hai
Meri aajizi ko kar qabool
Meri zindagi ka sawal hai...!!!





Wahi rakhy ga mery ghar ko balaoun sy mahfooz
Jo shajar sy ghonsla girny nahi deta...!!!





Log tangdasti sy jitna darty hain
Agar dono sy darein to dono sy bach jaien
Maal sy jitni muhabbat karty hain
Agar jannat sy karein to dono paa lein...!!!





Dhondta raha sukon ko har jaga umer e rawaan ky saath
Ya Rab kahein or na mila sukoon tery sajdy ky siwa...!!!



 

Jab main kahta hon ya Allah mera haal dekh
Hukam hota hai ky apny naama amal dekh...!!!





Kis qadar pur kaif ha teri zaat sy ishq ay Allah
Na bewafai ka khadsha, na judai ka koi khof...!!!





Mit jaye gunahon ka tasawur hi jahan sy IQBAL
Agar ho jaye yaqeen ky khuda dekh raha hai...!!!





Nahi main mohtaj duniya ka ik tery siwa ya rab
Mery sajdy qabool kar ly meri saanein totny sy pahly...!!!





Yon to rahmat teri tery ghazab py hawi hai
Phir bhi mahshar mein khudaya mera parda rakhna...!!!

»»  read more

Monday, 26 May 2014

Islamic Quotes, Hadees and Sayings SMS in Urdu with Pictures for Facebook Posts


Aey Allah main tery naam sy din ka aagaz kar raha hon mera aur tamam musalmano ka sara din acha guzray aamin...!!!




Gunahon Ka Boojh Halka Kijiaey.
Hazrat abdullah bin umer (R.A) farmaty han ky mainy rasool Allah (S.A.W) ko ye irshad farmaty howey suna:
"Jab koi shakhs nimaz keliye khara hota to usky gunah usky sar aur kandhon par rakh diye jaty jab jab wo rakoo aur sajdy mein jata to wo gunah girty rahty hain....!!!"



Kabhi kisi aisy shakhs par zulm na karo jis ky paas faryad keliye Allah taala ky siwa koi na ho...!!!




Nabi e kareem (S.A.W) ny farmaya: Anar ko usky andori chilky sameet khao kiun ky woh maidy ko saaf karta ha...!!!




Rasool Allah (S.A.W) ny farmaya:
"Hamary aur kafiron ky darmiyan farq nimaz ha jis ny nimaz chor di us ny kufar kiya...!!!"
"Musalman aur kufr-o-shirk ky darmiyan farq nimaz ha...!!!"




Aankh dunya ki har cheiz dekhti ha magar jab aankh ky andar kuch chala jaye to usey nahi dekh paati bilkul isi tarha insan dosron ky aib to dekhta ha par apny aib usy nazar nahi aaty...!!!




Badi ka moqa hoty howey badi na karna buhat bari naiki ha...!!!




Mushkilon sy larrna nahi balkah sanbhal kar guzarna seekho warna aap ki shakhsiat tabah ho jaye gi...!!!




Astaghfirullah: Mominon Tum Sab ALLAH Ke Aagy Toba Karo Takeh Falah...!!!




Chalo uska nahi Allah ka ahsaan lety hain,
Woh minnat sy na mana to mannat maan lety hain...!!!




Pareshani:
Tazkira karny say barhti rahti ha khamosh rahny sy kam ho jati ha sabar karny sy khatam ho jati ha aur Allah ka shukar ada karny sy khushi mein badal jati ha...!!!




Muhabbat me har jany par log naseeb ki baat karty hain,
Kabhi KHUDA sy muhabbat ki hoti to ye shikayat na hoti...!!!




Kisi sy itni nafrat na karo ky kabhi milna parry to mil na sako
AUR
Kisi sy itni muhabbat bhi na karo ky kabhi tanha jeena parry to ji na sako...!!!





Wabasta hain meri zindagi ky rabty jin sy,
Ay ALLAH
Un ko apni rahmaton sy sada khush rakhna aamin...!!!




Sachy aur amanat dar tajir ki fazeelat:
"Nabi-e-kareem (s.a.w) ny farmaya sacha aur imaan dar tajir nabion siddiqo aur shaheedon ky sath hoga...!!!





Allah ka zikar karty raha karo chahy ghar mein ho ya raasty mein
KIUNKEH
Jis cheiz ky saamny Allah ka zikar karo gy chahy wo pather phool darakht ya kuch bhi ho qayamat ky din gawahi degi keh
Ya ALLHA! tera ye banda tery zikar mein mashgool rahta tha....!!!




Hzrat Ali: Namaz Keliay Susti Imaan Ki Kamzori Ki Alamat Hai...!!!
»»  read more

Thursday, 22 May 2014

Hum dekhain ge hum dekhain ge

Hum Dekhain Ge Hum Dekhain ge
lazim he k hum bhi dekhain ge

Wo din k jis ka wada he
Jo Loh Azal me likha he

Jub zulm o sitam k koh gira
roi Ki tarha ur jaayn ge

Hum mahkumon k paay taly
Ye dharti dhar dhar dharky gi

Or ehly hukam k sar upar
jab bijli kar kar karky gi

Jab arze khuda k kaby se
Sab but uthway jayn ge

Hum ehle sfa mardo harm
Msnd py bithay jayn ge

Sub taaj uchaly jaay ge
Sub takhat giray jayn ge

Bas naam rhy ga Allah ka
Jo gyeb bhi he hazar bhi

Jo nazir bhi he manzar bhi
Uthy ka analhaq Ka nara

Jo me bhi hon tum bhi ho
Or raaj kary gi khalqe khuda

Jo main bhi hon or tum bhi ho
Jo main bhi hon or tum bhi ho

Faiz Ahmed Faiz
»»  read more

Thursday, 24 April 2014

Allama Iqbal, Allama Iqbal Poetry, Allama Iqbal Islamic Poetry

Allama Iqbal Islamic Poetry, Allama Iqbal Best Poetry

Allama Iqbal


Iqbal Tery Des Ka Kia Haal Sunaon


Iqbal Tery Des ka kia haal sunaon
Be baqi o haq koi gabrata he momin

Maqari o robahi pe itrata he momin
Jis rizk se parwaz me kotahi ka dar ho

Wo rizk bary shok se khata he momin
Kirdar ka guftar ka amal ka momin

Qayl nahi aesy kisi janjal Ka Momin
Sarhad ka he momin koi panjab ka momin

Dhondy se bhi milta nahi Quran Ka Momin
Iqbal tery des ka Kia Hall sunaon.





Noor-Jahan-sings-Kalam-e-Iqbal-Live-on-PTV-Har... by musabkalimawan
»»  read more

Sunday, 20 April 2014

Relationship Quotes in Urdu

Har Rishta Ik masoom Parindy ki tarha hota he


Har Rishta ak masoom Parindy ki tarah hota he agar sakti se pakroge
to mar jay ga agar narmi se pakro ge to ur jay ga lekin agar muhabat se
pakro ge to sari zindagi sath nibhay ga. More nachty hoy bhi rota he or
hans marty hoy bhi Gata he Yahi zindagi ka dastoor he Dukh wali raat
Neend Nahi Aati. or khushi wali raat kon sota he. Sabar karo q k dushwari
k baad asaani he. or har kaam k liye ak waqt muqarar he. Hamari taabir se
Allah Ki tabir boht buland o bala he.
»»  read more

Islamic Quotes

Islamic Quotes


Islamic quotes in urdu


Zindagi ki sab se bari fatah


Zindagi ki sub se bari fatah nafas par fatah
pana he agar nafs ne dill par fatha paai to wo
dill murda he. Arastu


Shikast khana buri baat nahi


Shikast khana buri baat nahi, Shikast kha kar
Himat har jana buri baat he Hazrat Abu Bakar Sadeeq


Zindagi ko zaroorat me rakho


Zindagi ko zaroorat me rakho khuahishaat ki taraf
na le jaao zaroorat faqeeron ki bhi pori ho jati he
Khuahish badshahon ki bhi baqi reh jati hain

Hazrat Ali RA

Islamic quotes about love in English



Islam is not about we Are better than you
Islam is about let me show something better
for you


Islamic Quotes about love


The best love is the one that makes you a better
person without changing you into someone other
than yourself.





»»  read more

Thursday, 17 April 2014

Islamic SMS, Islamic urdu Shayari

Islamic urdu Shayari


Ye zamain aasmaan tery sadqy
Me hi kia do jaha tery sadqy

Har nafs har khayaal tujh pe nisaar
har nazar har zaban tery sadqy


Jaao jo madeeny to Suny kaan laga ke



Jao jo madeeny to suno kaan laga ke
Sarkaar (SAW) ki baatain daro diwar karain



Apny Naseeb ko bura mat kho



Apny naseeb ko bura mat khao
ye naseeb hi to he k hum Muhammad SAW ki Umat hain


Nahi Mohtaaj dunya ka


Nahi me muhtaajh dunya ka ik tery siwa yaa RAB
mery Sajdy Qabool kar Meri Saans Totny se Pehly


Nahi sajdy kiye hum ne kabhi ghairon ki chokhat py



Nhi sajdy kiye hum ne kabhi ghairon ki chokhat par
Humahin jis ki zarorat ho khuda se maang lety hain


»»  read more

Tuesday, 15 April 2014

Isalmic Urdu Shayari SMS Fanna Kar De Apni Sari Zindgi KHUDA Ki Mohabbat Me

Isalmic Urdu Shayari SMS Fanna kar De apni sari Zindgi KHUDA ki mohabbat me Image By Petrysync

Fanna kar De apni sari Zindgi "KHUDA" ki mohabbat me,
Yahi Woh wahid Pyar hai Jis me Bewafai ni hoti...!!!


»»  read more

Sunday, 13 April 2014

Islamic Urdu Shayari

Parwany Ko Charaagh He Bulbul ko phool bas
Sadeeq K liye he khda ka rasool bas


Allama Iqbal
------------
Mery Ban Jao
------------


Hasi aati he mujhy hasrat Insaan par
Guna karta he khud lanat bhejta he Shetan par


Allama Iqbal
------------
Mery Ban Jao
------------


Sajdy To sab ne kiye tera Naya Andaaz He
Tu ne wo sajda kia jis par khuda ko naaz he



------------
Mery Ban Jao
------------


Masjed K samny tujhy Matam nahi qabool
Dety ne sar Husain to parhta namaz ko



------------
Mery Ban Jao
------------


Nigahe Ishk wo Masti Me wahi awal Whi aakhr
Whi quraan Wahi furqaan Wahi yasee whi Taha


-------------
Mery Ban Jao
-------------
»»  read more