Chala gaya chand dekho so gaye saary taray bhi,
Ab to aajao ay neend adhory hain kuch KHUWAB hamary bhi...!!!
Door ho kar bhi roz milta ha mujhy wo KHUWAB nagar me,
Agar yeh neend bhi na hoti to mar gaye hoty ham...!!!
Hamary khuwab ki tabir mumkin hi nahi shayad,
Magar ye bhi nahi ky KHUWABON sy mukar jaein...!!!
Jis tarha KHUWAB mery ho gaye reza reza,
Is tarha sy na kabhi toot ky bikhray koi...!!!
Khawab bhi shayad kaanch se kmzoor hoty hian Wassi,
Harr rooz bikhar jaty hain faqat ikk aankh ke khilne se...!!!
Neendon ki bagawat sy ye nuqsan howa ay dost,
Ik shakhs ky KHUWAB ko tarasti rahi aankhein...!!!
Bari mushkil sy sulaya ha khud ko mainy,
Apni aankhon ko tery KHUWAB ka laalach dy kar...!!!
Raat ko chand sitary nahi sony dety
Din mein haalat hamary nahi sony dety,
Chahata hun main unhain KHUWAB mein dekhon Qaisar
Mujh ko wo jan sy piyary nahi sony dety...!!!
Ham bhi KHUWAB likhein gy
Shab ky sard maathy py
Chandni ky taaron sy
Khoro sitaro sy
KHUWAB woh jo aankhon mein
(teri kanch aankhon mein)
Roshni jaga deingy
Ik dhanak saja deingy
KHUWAB wo ky taabiren
Jin ki sirf mujh sy hain
Shart bas lamho ki
Aur lamhy aisy jo
Aaein to thahar jein
Baarisho ki bondon sy
Jo ky khushk sahra ko
Pal mein aab kar jaein
Sik baab kar jein...!!!