Showing posts with label Images Shayari. Show all posts
Showing posts with label Images Shayari. Show all posts

Wednesday 4 June 2014

Gila Shikwa Shayari Urdu Images Collection


Mujh sy kiya gila tum ko itny badguman kiun ho tum,
Mainy tum ko chaaha hai tum sy to kuch nahi chaha...!!!




Qayamat ka to suna tha ky koi kisi ka na hoga,
Magar ab to dunya mein bhi yeh riwaj aam ho gaya hai...!!!




Main ghareeb ka bacha tha is liye bhooka rah gaya,
Pait bhar gaya jo kutta ameeron ky ghar ka tha...!!!




Main so jounga khamosh yonhi bhook aur piyaas sy,
Ay ameeron agar ha gila tum ko mery libas sy...!!!




Main to ghazal suna ky akela khara raha,
Sab apny apny chahany walon me kho gaye...!!!




Meri zuban sy shayad meri khatayein hon na sakein bayaan,
Haan mery apny bata deingy tujhy mery gunah saary...!!!




Mery ilm ny kiya bekhabar amal sy mujhy YA RAB,
Warna har cheiz jhukti ha tery aagy madhosh ho kar...!!!




Mery rooth jany sy ab unko farq nahi parrta,
Bechian kar deti thi kabhi jin ko khamoshi meri...!!!




Raat gahri thi dar bhi sakty they 
Ham jo kahty they woh bhi kar sakty they
Tum jo bichrry to yeh bhi na socha
Keh ham to pagal they mar sakty they...!!!




Yon daal ky phirty ho Naqabon py Naqab,
Be aib ha chahra to dikha kiun nahi dety...!!!




Aawaz kiya shakal bhi pahachanta nahi,
Ghafil hamary haal sy woh is kadar howa...!!!



»»  read more

Monday 2 June 2014

Mohabbat Shayari SMS Shayari in Urdu Picture


Tum kiya jano MOHABBAT ky meem ka matlab,
Agar mil jaye to mojza aur na mily to mot...!!!




Kitni mahdood si ha dunya meri,
Ek main ik MOHABBAT meri...!!!




MOHABBAT meem sy shuro aur ty par khatam hoti hai,
Lekin meri ty aur meem tum par khatam hoti ha...!!!




MOHABBAT barhany ka tareeka aur koi nahi,
Faasla kam na hoga faisla yahi ha bas..!!!




MOHABBAT ko sanbhal rakha tha jinho ny apny aashyano ki tarha,
Woh log hain ab dafan kitabon mein dastano ki tarha...!!!




Itny nakhry dekhy nahi jaaty,
Bhaard me jaye MOHABBAT tumhari...!!!



Na samjho garoor usky is andaaz-e-MOHABBAT mein Abbas,
Woh roth ta ha ky usey mera baar baar manana acha lagta ha..!!!




Tujh sy haal bhi to pochein ham kis tareeky sy pochein Abbas,
Suna ha MOHABBAT karny waly bola kam roya buhat karty hain...!!!




Tum ko chaha to MOHABBAT ki samajh aai,
Warna is lafz ki tareef suna karty they...!!!




Kiun bar bar khud ko aayiny mein dekh kar,
Kiun meri ikloti MOHABBAT ko nazar lagaty ho...!!!



»»  read more

Sunday 1 June 2014

Ahmad Faraz Poetry Collection in Urdu Font Images for Facebook Posts


Us shakhs sy faqat itna sa ta aluq ha FARAZ,
Woh pareshan ho to hamein neend nahi aati...!!!




Khuwab marty nahi
Khuwab dil han, na aankhein, na shamein ky jo
Reza reza howey to bikhar jaein gy
Jisam ki moot se yeh bhi marr jainge
Khuwab to roshni hain, nawa hain, hawa hain
Jo kaaly paharron sy rukty nahi
Zulm ky dozakhon sy bhi phukty nahi
Roshni aur noor aur hawa ky alam
Maqtalon mein pohanch kar bhi jhukty nahi
Bhuwab to harf hain
Khuwab to noor hain
Khuwab to suqraat hain
Khuwab to mansoor hain...!!!




Main fana ho gaya wo badla phir bhi nahi FARAZ,
Meri chaahat sy bhi sachi thi nafrat uski...!!!




Usey tarasha ky hera bana diya ham ny FARAZ,
Magar ab ye sochty hain usey khridein kesy...!!!




Yonhi mousam ki ada dekh kar yaad aaya hai,
Kis qadar jald badal jaty hain insaan janaan...!!!




Hazar bar marna chaha nigahon mein doob kar ham ny FARAZ,
Woh nigahein jhuka leti ha hamein marny nahi deti...!!!




Zabt lazim ha magar dukh ha qayamat ka FARAZ,
Zalim ab ky bhi na roya to mar jaye ga...!!!



»»  read more

Saturday 24 May 2014

Dil Shayari/Poetry Images in Urdu Sad Mood Vol-02



Najany kiun magar phir bhi mera DIL karta hai,
Wafa ko aag lag jaye Muhabbat bhaarr mein jaye...!!!




Tumhary baad baqi aur to sab theek ha lekin,
Jahan DIL tha kabhi pahly wahan ab dard hota ha...!!!




Uff toba uski nazron ka khumar uff toba,
Yaqeen karo DIL na dety to jaan chali jati...!!!




DIL dukhaya karo ijazat hai,
Bhool jany ki baat mat karna...!!!




Tum to apny ho tumhain DIL sy nikalein kesy,
Ham to dushman ko bhi beghar nahi hony dety...!!!




Hazar khof hon lekin zuban ho DIL ki rafique,
Yahi raha azal sy qalandro ka tareeq...!!!




Kisi ny mol na poocha DIL-e-shikasta ka,
Koi kharid ky tota piyala kiya karta...!!!




Aankhon mein raha DIL mein utar kar nahi dekha,
Kashti ky musafir ny samundar nahi dekha...!!!




Aik wo cheiz jisy DIL ki khushi khaty hain,
Kahein bazar mein mil jaye to lety aana...!!!




Kitni mushkil sy cherri ha DIL ny tark-e-taluq ki guftago,
Ab shab neend mein meri aankhon par dastak na dena...!!!



»»  read more

Wednesday 14 May 2014

Dil Urdu Facebook Poetry Images Collection Vol-01

Here is Milan Ki Umeed shayari Image, Dil ki Basti Urdu Shayari Bewafai Image, Ishq-o-Khaloos Shayari wallpaper, Raat Ki Yad poetry urdu Image, Dil Ki Dharkan Urdu Shayari Image, Aansu or Yad urdu shaayri Image, Majbori shayari Picture, Chehry ki Wafadari Photo, baat na karna urdu Image.


Dil urdu shayari aaj tak ha dil ko usky lot aany ki umeed aaj tak thahri hoi ha zindgi apni jaga

Aaj tak ha dil ko usky lot aany ki umeed,
Aaj tak thahri hoi ha zindgi apni jaga...!!!



Dil urdu shayari aik pal mein jo barbad kar dety hain dil ki basti wo log dekhny mein aksar masoom hoty hain

Aik pal mein jo barbad kar dety hain dil ki basti,
Woh log dekhny mein aksar masoom hoty hain...!!!



Dil urdu shayari baatein to buhat karty ho ishq o khulos ki kabhi apny dil mein bhi to dekho ham hain bhi ya nahi

Baatein to buhat karty ho ishq-o-khulos ki,
Kabhi apny dil mein bhi to dekho ham hain bhi ya nahi...!!!



Dil urdu shayari dar lagta mujhy raat ky us pahar sy utarti ha jab dil mein aangan mein uski yaadein

Dar lagta mujhy raat ky us pahar sy,
Utarti ha jab dil mein aangan mein uski yaadein...!!!



Dil urdu shayari dil bhi mujhy aaj ye kah ky dara raha ha karo yaad usey warna main bhi dharakna chorr donga

Dil bhi mujhy aaj ye kah ky dara raha hai,
Karo yaad usey warna main bhi dharakna chorr donga...!!!



Dil urdu shayari dil ki baat kahta hun bura to nahi mano gy bari rahat ky din they teri pahchan sy pahly

Dil ki baat kahta hun bura to nahi mano gy,
Bari rahat ky din they teri pahchan sy pahly...!!!



Dil urdu shayari dil ki khamoshi sy saanso ky thahar jany tak yaad aaye ga mujhy wo shakhs mar jany tak

Dil ki khamoshi sy saanso ky thahar jany tak,
Yaad aaye ga mujhy wo shakhs mar jany tak...!!!



Dil urdu shayari dil ki zid ny mujhy majboor kiya hai warna ham ghribo ka nawabo sy taluq kesa

Dil ki zid ny mujhy majboor kiya hai warna,
Ham ghribo ka nawabon sy taluq kesa...!!!



Dil urdu shayari dil kisi say tab hi lagana jab dilon ko parhna seekh lo har aik chahry ki fitrat mein wafadari nahi hoti

Dil kisi say tab hi lagana jab dilon ko parhna seekh lo,
Har aik chahry ki fitrat mein wafadari nahi hoti...!!!



Dil urdu shayari dil majabor ho raha ha tum sy baat karny ko bas zid ye ha ky guftgo ka aagaz tum karo

Dil majabor ho raha ha tum sy baat karny ko,
Bas zid ye ha ky guftgo ka aagaz tum karo...!!!


»»  read more

Monday 14 April 2014

Dard and Bewafai Shayari in Hindi Image Safar-e-Wafa Ki Raah Me Manzil Jafa Ki Thi

Dard and Bewafai Shayari in Hindi Image Safar-e-Wafa Ki Raah Me Manzil Jafa Ki Thi By Poetrysync

Safar-e-Wafa Ki Raah Me Manzil Jafa Ki Thi
Kaghaz Ka Ghar Bana Ke Bhi Khawahish Hawa Ki Thi,

Thi Jugnuon Ke Shehr Me Taron Se Dushmani
Mashooq Chaand Tha Aur Tamanna Subha Ki Thi,

Tum Ne To Ebadat Ka Tamasha Bana Diya
Chahat Namaz Ki Thi Per Aadat Qaza Ki Thi,

Maine To Zindagi Ko Tere Naam Likha Tha
Shayad Mgar Kuch Aur Hi Marzi KHUDA Ki Thi,

Dard He Dena Tha To Pehle Bata Detay
Hum Ko Bhi Azal Se He Tamana Saza Ki Thi...!!!


»»  read more

Thursday 27 March 2014

Romantic Urdu Shayari SMS: Khaash Batain Apki Itni Pyari Na Hoti

Romantic Urdu Shayari SMS Khaash Batain Apki Itni Pyari Na Hoti By Poetrysync

Khaash Batein Apki Itni Pyari Na Hoti
Khaask Mulakat Apse Hamari Na Hoti
Khwabon Me Hi Dekh Lete Aapko,
To Aj Milne Ki Yiun Bekarari Na Hoti...!!!


»»  read more