Sunday, 1 June 2014

Ahmad Faraz Poetry Collection in Urdu Font Images for Facebook Posts


Us shakhs sy faqat itna sa ta aluq ha FARAZ,
Woh pareshan ho to hamein neend nahi aati...!!!




Khuwab marty nahi
Khuwab dil han, na aankhein, na shamein ky jo
Reza reza howey to bikhar jaein gy
Jisam ki moot se yeh bhi marr jainge
Khuwab to roshni hain, nawa hain, hawa hain
Jo kaaly paharron sy rukty nahi
Zulm ky dozakhon sy bhi phukty nahi
Roshni aur noor aur hawa ky alam
Maqtalon mein pohanch kar bhi jhukty nahi
Bhuwab to harf hain
Khuwab to noor hain
Khuwab to suqraat hain
Khuwab to mansoor hain...!!!




Main fana ho gaya wo badla phir bhi nahi FARAZ,
Meri chaahat sy bhi sachi thi nafrat uski...!!!




Usey tarasha ky hera bana diya ham ny FARAZ,
Magar ab ye sochty hain usey khridein kesy...!!!




Yonhi mousam ki ada dekh kar yaad aaya hai,
Kis qadar jald badal jaty hain insaan janaan...!!!




Hazar bar marna chaha nigahon mein doob kar ham ny FARAZ,
Woh nigahein jhuka leti ha hamein marny nahi deti...!!!




Zabt lazim ha magar dukh ha qayamat ka FARAZ,
Zalim ab ky bhi na roya to mar jaye ga...!!!



0 comments:

Post a Comment