Showing posts with label Facebook Poetry. Show all posts
Showing posts with label Facebook Poetry. Show all posts

Tuesday 3 June 2014

Top Ten Urdu Image Shikwa Shayari Collection for Facebook


Hota nahi ha tujh py kisi baat ka asar,
Lagta tery roop mein pather mila mujhy...!!!




Kaanty to naseeb mein aany hi they,
Phool jo ham ny gulab chuna tha...!!!




Machalty rahty hain zehan mein waswason ki tarha,
Haseen log bhi jaan ka wabal hoty hain...!!!




Afsos to ha tery badal jany ka magar,
Teri kuch baaton ny mujhy jeena sikha diya...!!!




Apni hansi sy laga ly andaz mery dard ka Abbas,
Zarori to nahi tery har sitam ka hawala meri zuban sy ho...!!!




Ghor sy dekh meri masomiat ko ay ibn-e-aadam,
Main hawwa ki nishani hon tery hath ka khilona nahi...!!!




Is sooraj ka mizaj bhi us shakhs jaisy hain Abbas,
Bin jis ky ham ji nahi sakty aur paas jaty hain to jala deta ha...!!!




Kesy guzar rahi ha sabhi pochty to hain,
Kesy guzarta hun koi pochta nahi...!!!




Kitny hi gily they zuban py hamari,
Yeh alag baat ha ky sun ny wala na tha...!!!




Kuch aur bhi han kaam hamein gham-e-janaan,
Kab tak koi uljhi hoi zulfo ko sanwary...!!!



»»  read more

Sunday 1 June 2014

Ahmad Faraz Poetry Collection in Urdu Font Images for Facebook Posts


Us shakhs sy faqat itna sa ta aluq ha FARAZ,
Woh pareshan ho to hamein neend nahi aati...!!!




Khuwab marty nahi
Khuwab dil han, na aankhein, na shamein ky jo
Reza reza howey to bikhar jaein gy
Jisam ki moot se yeh bhi marr jainge
Khuwab to roshni hain, nawa hain, hawa hain
Jo kaaly paharron sy rukty nahi
Zulm ky dozakhon sy bhi phukty nahi
Roshni aur noor aur hawa ky alam
Maqtalon mein pohanch kar bhi jhukty nahi
Bhuwab to harf hain
Khuwab to noor hain
Khuwab to suqraat hain
Khuwab to mansoor hain...!!!




Main fana ho gaya wo badla phir bhi nahi FARAZ,
Meri chaahat sy bhi sachi thi nafrat uski...!!!




Usey tarasha ky hera bana diya ham ny FARAZ,
Magar ab ye sochty hain usey khridein kesy...!!!




Yonhi mousam ki ada dekh kar yaad aaya hai,
Kis qadar jald badal jaty hain insaan janaan...!!!




Hazar bar marna chaha nigahon mein doob kar ham ny FARAZ,
Woh nigahein jhuka leti ha hamein marny nahi deti...!!!




Zabt lazim ha magar dukh ha qayamat ka FARAZ,
Zalim ab ky bhi na roya to mar jaye ga...!!!



»»  read more

Tuesday 27 May 2014

Urdu Mohabbat | Piyar | Ishq Poetry Images for Facebook Timeline Sharing


Zuban to kah nahi sakti tumhain ahsaas to hoga,
Meri aankhon ko parh lena mujhy tumsy MUHABBAT hai...!!!




Ehsas agar ha to MUHABBAT karo mahsoos,
Har baat ka izhar zarori nahi lab sy...!!!




Bebas kar deta qanoon-e-MUHABBAT warna,
Main tumhain itna chahon ky intiha kardon...!!!




Daboch ky khatam kar deti ha MUHABBAT aik din Shakir,
Yeh rait nahi ha jo muthi sy phisal jaye...!!!




Jo baat ham kah nahi sakty usey ham farz karty hain,
Chalo ham farz karty hain hamein tum sy MUHABBAT hai...!!!




Kuch khas dilon ko ishq ky ilhaam hoty hain,
MUHABBAT mojza hai, mojzy kab aam hoty hain...!!!




Main MUHABBAT mein us maqam par hon jahan,
Meri zaat mein rahti hai teri zaat musalsal...!!!




Abhi bhi waqt ha tum lot jao,
Mujhy tum sy MUHABBAT ho chali hai...!!!




Ajeeb halat hoti ha us MUHABBAT mein dil ki,
Udaas jab bhi yar ho qasoor apna lagta ha...!!!




MUHABBAT baqi rahny par yaqeen kitna tha dono ka,
Yahan har cheiz ha fani na tum samjhy na dil samjha...!!!


»»  read more

Mohsin Naqvi Poetry/Shayari in Urdu Images for Facebook


Aik bar aur dekh kar aazad kardy mujhy MOHSIN,
Keh main aaj bhi teri pahli nazar ki qaid mein hun...!!!




Wafa ki basti ky log MOHSIN ujrry ujrry ye kah rahy hain,
Keh jahan muhabbaton mein khot dekho wafa py tum bhi khary na rahna...!!!




Reza reza hai mera aks to hairat yeh ha MOHSIN,
Mera aaina salamat hai, to phir toota kiya hai...!!!




Na murawwat,
Na muhabbat,
Na khaloos hai MOHSIN
Main to sharminda hun
Is dor ka insan ho kar...!!!


»»  read more

Love and Romantic Poetry/Shayari Pictures in Urdu for Facebook


Door rah kar bhi jo samaya ha meri rooh me,
Paas walon par woh shakhs kitna asar rakhta hoga...!!!




Faqat tum nahi aziz teri aadatein bhi aziz hain,
Keh tum bhool bhi jaty ho to bura nahi lagta...!!!




Woh aaeiny ko bhi hairat mein daal deta hai,
Kisi kisi ko khuda ye kamal deta hai...!!!




Aaj tafseel nahi! bas itna suno,
Mousam haseen hai, lekin tum jaisa nahi...!!!




Kiya karo gy ham sy jawab-e-guftago lekar,
Ham ny to kah diaya....
Tery hain, Faqat tery hain aur bas tery hain...!!!




Kon jeety ga un sy baaton me,
Jinki aankein kalam karti hain...!!!




Mujh ko maloom nahi HUSN ki tareef magar,
Meri nazar mein haseen woh hai jo tujh jaisa hai...!!!




Tum ko ye kamal hasil hai,
Waqt bewaqat achy lagty ho...!!!




Un ki aankhon mein ham doob gaye,
Kesy jata dhiyan palkon par...!!!.




Unglion ko tarash don phir bhi,
Aadatan us ka naam likein gi...!!!




Woh ghazal walon ka asloob samajhty hon gy,
Chand kahty hain kisy khob samajhty hon gy...!!!




Yeh subh ka manzar bhi qayamat ka haseen hai,
Hai takya kahein, zulf kahein, khud wo kahein hai...!!!




Aaj tak dekha nahi mainy kahein aisa shabab,
Tery honton ky tabassum sy hain sharminda gulab...!!!




Uff us ky roothny ki adaein bhi ghazab ki thein,
Baat baat py ye kahna "Soch lo phir main baat nahi karon gi...!!!"



»»  read more

Sunday 25 May 2014

Urdu Poetry/Shayari Pictures about Ishq/Mohabbat


Beemar-e-ISHQ jahan bhi dekho,
Ahtiatan fatiha parh lo...!!!



Haaye ye ISHQ ka zawal ky ab,
Hijar mein hijar ka malal nahi...!!!



Kamal ha peer ha ISHQ bhi,
Chorr deta ha mureed kar ky...!!!




Ilm-o-hikmat ka shoq ho aaein na idhar,
Kocha-e-ISHQ mein kuch bhi nahi hairat ky siwa...!!!




Agar ISHQ karna sawab hota yaqeen karo,
Na tum sy hota na ham sy hota...!!!




Yeh wajibat-e-ISHQ ham par hi qarz kiun,
Woh bhi ada kary muhabbat usey bhi thi...!!!



»»  read more