Showing posts with label Images Sad Poetry. Show all posts
Showing posts with label Images Sad Poetry. Show all posts

Tuesday 11 November 2014

Sad, Dukh, Dard 4 Line Shayari, SMS For FB Posts


Aaj bhi bahta ha uska diya howa zakham
Main chah kar bhi usey see na paaya
Bas kahny keliye hi zinda hon main to yaaro
Par marzi ky saath kabhi ji na paaya...!!!





Dard mein is dil ko tarrapty dekha
Samny har rishty ko bikharty dekha
Kitny piyar sy sajayi khawabon ki dunya
Usey aankon sy apny ujarrty dekha...!!!






Kiun mery dard sy tum bechain rahty ho
Aankhon sy qeemti moti baha dety ho
Aaj pochon aik sawal aap sy
Kiun door hoky bhi mery paas rahty ho...!!!






Mujhy phir sy sachool ka basta thama do
Mujhy zindagi ka sabaq buhat mushkil lagta hai...!!!





Raat palkein jhapki to aik haseen khawab aa gaya
Aapky piyar ka mahakta gulab aa gaya
Do pal aap bhi yaad kar liya karo hamein
Aankhein khuli to apki yaad mein 
aansoun ka sailab aa gaya...!!!





Bury waqt ho to lot jao tum
Sabhi chahry aazma liye ham ny...!!!





Dard deti hai mujhy hamdardi har shakhs ki
Meri dunya ujaar di aik shakhs ny yonhi dilasy dekar...!!!





Dil karta hai aag laga don is zamany ko
Jisny dard hi dard diya har deewany ko
Har pal zakham khaya hai dil ny mery
Ab kiya rah gaya aur aazmany ko...!!!






Kisi ko pany k liye hamari sari khobian bhi kam par jati han
Aur khony ky liye aik kami hai kaafi hoti hai...!!!





Rony sy kabhi kisi ko kuch hasil nahi hota
Jo bichar jaye wo sathi nahi hota
Dosron ki to ham mahfil sajaty rahty hain
Par hamari tanhayi mein kabhi koi shamil nahi hota...!!!

»»  read more

Sunday 25 May 2014

Urdu Ishq Shayari Images and SMS Collection


ISHQ hara ha to sar tham ky kiun bethy ho,
Tum to har baat py kahty they ky koi baat nahi...!!!




Lihaz-e-ISHQ na hota to tujh sy ranjishen hotein,
Shikayat sirf itni ha ky tu samjha nahi mujhko...!!!




Ly kar zanjeer hathon mein kuch log tumhari taak mein hain,
Ay ISHQ hamari galyon mein na aur phiro to acha ha...!!!




Mera seedha saadha mizaj tha mujhy ISHQ hony ki kiya khabar,
Teri ik tabassum naz ny mera sara zoq badal diya...!!!




Tu KHUDA ha na mera ISHQ farishton jaisa
Dono insan hain to kiun itny hijabon mein milein...!!!



ISHQ jis ko talaq dy dy,
Umer us ki tamam iddat...!!!




ISHQ tujh sa bura nahi koi,
Har bhaly ka bura kiya tuny...!!!




Jis din kitab-e-ISHQ ki takmeel ho gai,
Rakh dein gy zindagi tera basta utar kar...!!!




Jis umer mein aqal aati ha amoman,
Ham us umer mein ISHQ kar bethy...!!!




Tajruba aik hi ibrat keliye kafi tha,
Mainy dekha hi nahi ISHQ dobara kar ky...!!!



»»  read more

Saturday 24 May 2014

Dil Shayari/Poetry Images in Urdu Sad Mood Vol-02



Najany kiun magar phir bhi mera DIL karta hai,
Wafa ko aag lag jaye Muhabbat bhaarr mein jaye...!!!




Tumhary baad baqi aur to sab theek ha lekin,
Jahan DIL tha kabhi pahly wahan ab dard hota ha...!!!




Uff toba uski nazron ka khumar uff toba,
Yaqeen karo DIL na dety to jaan chali jati...!!!




DIL dukhaya karo ijazat hai,
Bhool jany ki baat mat karna...!!!




Tum to apny ho tumhain DIL sy nikalein kesy,
Ham to dushman ko bhi beghar nahi hony dety...!!!




Hazar khof hon lekin zuban ho DIL ki rafique,
Yahi raha azal sy qalandro ka tareeq...!!!




Kisi ny mol na poocha DIL-e-shikasta ka,
Koi kharid ky tota piyala kiya karta...!!!




Aankhon mein raha DIL mein utar kar nahi dekha,
Kashti ky musafir ny samundar nahi dekha...!!!




Aik wo cheiz jisy DIL ki khushi khaty hain,
Kahein bazar mein mil jaye to lety aana...!!!




Kitni mushkil sy cherri ha DIL ny tark-e-taluq ki guftago,
Ab shab neend mein meri aankhon par dastak na dena...!!!



»»  read more

Bewafai and Wafa Shayari Wallpaper in Urdu


Bewafai ki har kahani ka,
Silsila tum sy ja ky milta ha...!!!




Na kar muhabbat pardesi sy inka thikana door hota hai,
Yeh BEWAFA nahi hoty uhain jana zaroor hota hai...!!!




Shahar bhar mein jisny
Ruswa kiya hamein bewafa ky nam par
Wafa sy khali tha...!!!




Woh BEWAFAI kar ky bhi hamein bury nahi lagty,
Afsos ham wafa kar ky bhi unhain achy na lagy...!!!




Ik BEWAFA ko na aaya hamari wafa ka yaqeen,
Ham ny gussy mein kaha mar jaein gy unsy kaha aamin...!!!




Itna bhi ham sy naraz na howa kar,
Badnaseeb zaroor hain par bewafa nahi...!!!



»»  read more

Thursday 22 May 2014

Best Images of Shikwa Sad Shayari in Urdu


Bethy thy apni masti mein ky achanak tarap uthey,
Aa kar tery khayal ny acha nahi kiya...!!!




Bhook phirti ha mery mulk mein nangy paoun,
Rizq zalim ki tajori mein chupa betha ha...!!!




Main to pahron tumhain sochti rahti hon,
Tumhain aik lamhy keliye bhi mera khayal nahi aata...!!!




Teri dunya ka dastor ajeeb ha khuda,
Muhabbat unko milti ha jinhain karni nahi aati...!!!




Woh muddat sy kisi zarori kam mein masroof ha warna,
Hamary sath sy barh kar zaroori kuch nahi usko...!!!




Woh naraz hota to usy mana leta,
Woh taluq hi na rakhy to usey manaon kesy...!!!




Woh tumhain chorr gaya to ham sy ye doorian kiun,
Meri khushiyan aksar mujh sy sawal karti hain...!!!




Samajh nahi aati ky wafa karein to kis sy karein,
Matti sy bany ye log kagaz ky tukro py bik jaty hain...!!!




Taa umer kon karta chahat mery hazoor,
Milty hain kab jahan mein zulekha mizaj log...!!!



Itny bhi nadan nahi ham,
Ham ko parhna aata ha
Kon sa lahja dil ki dunya
Kon sa dunya dari...!!!



»»  read more

New Urdu Poetry/Shayari Images Collection in Sad Mood


Na kuch raha paas apny to sanbhal ky rakhi faqat tanhai,
Yeh woh saltanat ha,
Jisky badshah bhi ham,
Faqeer bhi ham,
Aur har faisly ky wazeer bhi ham...!!!




Sab baatein fuzool hon jaisy,
Kitni haseen ha uski khamoshi...!!!




Toot sa gaya ha mery aitabar ka wajood,
Abb koi mukhlis bhi ho to yakeen nahi aata...!!!




Tum sochty rahty ho ky kiya dekh raha hon,
Main dekhta rahta hun ky kiya soch rahy ho...!!!




Rafta rafta waqt sy majboor hota gaya
Buhat piyar tha tujh sy aur tujh sy hi dor hota gaya,
Mainy iltija ki ky tery bin waqt nahi guzarta
Yeh sun kar tu bhi thoda magroor hota gaya,
Kisi ki judai ko bardasht na kar paya
Main bhi dilo dimag sy lashaoor hota gaya,
Teri aankh mein najany kesa hunar Tha
Jo main poori mahfil me masroor hota gaya,
Yeh kesi muhabbat ky muqadar ki ruswai hoi ha dost
Main bewafa aur woh bekasoor hota gaya...!!!




Sad urdu shayari raat inti haseen ha ky sab gahri neend mein hain,
Aik ham hi badnaseeb hain ky jal rahy hain kisi ki yaad mein...!!!




Roth jany ki ada ham ko bhi aati ha,
Kash hota koi ham ko bhi manany wala...!!!




Sab ky honto par muskurahat thi mery qatal ky baad,
Jany kiya soch ky ro raha tha qatil mera...!!!




Suna ha koi aur bhi chahny laga ha tumhain,
Ham sy barh kar agar koi chahay to usi ky ho jana...!!!




Suno! palkon py jitny khuwab they unko utha lena,
Meri aankhon py unka bojh meri takat sy bhari ha...!!!



»»  read more